Jinhain Chaha Bahut Hum Ne, Magar Apna Nahi Paey:
Bahot Ankhon Ne Barish Ki, Mujhe Woh Yad Jab Aaey¤


Bary Daway Thy Hamen Tum Se, Juda Ho Kar Bhe Jee Lain Gay
Magar Ek Lamha Bhar Ki Hum, Judai Seh Nahin Paey¤


Mein Jin Ki Rah Takta Hon Na Jany Kitne Arsay Se
Koi Un Se Zara Pochay,Woh Milne Kion Nahi Aaey¤


Na Janey Kab Se Apne Ap Ko Ham To Badal Bethy:
Yeh Qismat Ke Sitaaray Kion Badalne Ko Nahi Aaey¤


Aay Qasid! Tum Kaho Un Se, Woh Larna Chor Dain Ham Se:
Woh Jab Se Rooth Bethy, Tab Se Ham Bhe So Nahi Paaey¤


Khudaya Shukar Hai Tera Ke Yadon Par Nahein Pehra:
Agar Yadon Pe Pehra Ho,To Phir Aashiq Kahan Jaey¤


Jo Kehtay Hain Mohabbat Kuch Nahin Hoti Zamanay Mein:
Woh Khud Bhe To Mohabbt Ke Bina Kion Reh Nahi Paaey¤