Page 5 of 7 FirstFirst ... 234567 LastLast
Results 49 to 60 of 79

Thread: Sad Ghazal Available Here

  1. #49
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,910
    Threads
    482
    Credits
    148,896
    Thanked
    970

    Default

    Quote Kingdani9081 said: View Post
    Mohabbat ka irada ab badal jana bhi mushkil hai
    Tujhe khona bhi mushkil tujhe paana bhi mushkil hai
    Udaasi tere chehre pe gawara bhi nahi lekin
    Teri khaatir sitaare tod kar lana bhi mushkil hai
    zara si baat pe aankhein bheengoke baith jaate ho
    Tujhe to ab dil ka haal batana bhi mushkil hai
    Yaha logon ne khud pe itne parde daal rakhe hain
    Kisi ke dil mein kya hai nazar aana bhi mushkil hai
    Tujhe zindagi bhar yaad rakhne kikasam to nahi li
    Par ek pal ke liye tujhe bhoolana bhi mushkil hai.
    ONLY FOR YOU
    واہ آپ نے تو کمال کردیا

  2. #50
    Join Date
    04 Nov 2013
    Location
    Gujar Khan
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    622
    Threads
    39
    Credits
    407
    Thanked
    43

    Default

    Baazigar thanks
    *********** ***********

  3. #51
    Join Date
    10 Jan 2015
    Location
    Karachi
    Gender
    Male
    Posts
    1,244
    Threads
    488
    Credits
    27
    Thanked
    233

    Default


    بہت خوبصورت انتخاب ہے ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ اردو میں پڑھیں زیادہ مزہ آئے گا

    کچھ خود بھی تھے افسردہ سے
    کچھ تم بھی ہم سے روٹھ گئے

    کچھ خود بھی زخم کے عادی تھے
    کچھ شیشے ہاتھ سے چھوٹ گئے

    کچھ خود بھی تھے حساس بہت
    کچھ اپنے مقدر روٹھ گئے

    کچھ تم کو سچ سے نفرت تھی
    کچھ ہم سے نا بولے جھوٹ گئے

    کچھ لوگوں نے اکسایا تمھیں
    کچھ اپنے مقدر پھوٹ گئے

    کچھ خود اتنے محتاط نہ تھے
    کچھ لوگ بھی ہم کو لوٹ گئے

    کچھ تلخ حقائق تھے اتنے
    کہ خواب ہی سارے ٹوٹ گئے

  4. #52
    Join Date
    04 Nov 2013
    Location
    Gujar Khan
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    622
    Threads
    39
    Credits
    407
    Thanked
    43

    Default

    Dil lagi thi usey hum se muhabat kab thi

    Mehfil-e-gair se un ko fursat kab thi,

    Hum thay muhabat mein lut janay k qayal,

    Us k wadon mein wo hakekat kab thi,

    Wo wakt guzari k liye krta tha pyar ki batien,

    Warna meri khatir us k dil mein chahat kab thi,

    Bohut roka lekin nekal atey kam-bakht anso,

    Bazm-e-yaad mein anso bahaney ki ijazat kab thi,

    KHUDA janey kis ki yaad mein hua hai wo be-hal,

    Warna mere ishq mein us ki aisi halat kab thi.

  5. #53
    Join Date
    04 Nov 2013
    Location
    Gujar Khan
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    622
    Threads
    39
    Credits
    407
    Thanked
    43

    Default

    aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
    vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !

    kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
    phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa

    jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
    to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa

    qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
    us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa

    ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
    jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !

    ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
    vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa

    uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN
    pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa

    hairat se saare lafz use dekhte rahe
    baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa

    kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii
    ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa

    shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
    manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa

    qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
    taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa

    manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
    jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa

    andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
    us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa

    aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
    vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa

    apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
    “Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa.

  6. #54
    Join Date
    04 Nov 2013
    Location
    Gujar Khan
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    622
    Threads
    39
    Credits
    407
    Thanked
    43

    Default

    usay apnay farda ki fikkar thi,
    woh jo mera wakifay haal tha
    wohi us ki subha-e-arooj thi,
    wohi mera waqt-e-zawal tha
    meri baat kaisay woh janta,
    mera baat kaisay woh manta
    woh to khud fana kay safar main tha,
    ussay rokna mahal tha
    kahan jao gay mujhay chor ker,
    main yeah pouch pouch ker thak gaya
    woh jawab mughko na day saka,
    woh to khud sarapay-e-sawal tha
    woh mila to sadion baad bhi,
    meray lab per koi gila na tha
    ussay meri chup nay rula deya,
    jisay guftagu main kamal tha
    meray sath lipat ker woh ro deya,
    mughay fakat itna wo kah saka
    jisay janta tha mai zindagi,
    woh mehaz mera waham-o-khayal tha.

  7. #55
    Join Date
    04 Nov 2013
    Location
    Gujar Khan
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    622
    Threads
    39
    Credits
    407
    Thanked
    43

    Default

    nizamuddin shukria apka bohat bohat

  8. #56
    Join Date
    04 Nov 2013
    Location
    Gujar Khan
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    622
    Threads
    39
    Credits
    407
    Thanked
    43

    Default

    Kisi Ne Dil Ko Torr Diya Hai
    Tanha Kar K Chor Diya Hai

    Shakh Pe Nazuk Phool Khila Tha
    Taza Hawa Ne Jhool Diya Hai

    Meri Janib Aaty Aaty Tumko
    Kisi Ne Wapas Morr Diya Hai

    Jis Ko Jitna Toot K Chaha
    Uss Ne Utna Torr Diya Hai

    Chalo Main Bhi Sochon Tum Bhi Socho
    Kis Ne Kis Ko Chor Diya Hai

  9. #57
    Join Date
    04 Nov 2013
    Location
    Gujar Khan
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    622
    Threads
    39
    Credits
    407
    Thanked
    43

    Default

    ~Gaya Zamana Barha Suhana,

    ~Jo yaad aaon to loat aana . .? ?

    ~Wo aankhon aankhon mein bat krna,

    ~Wo baaton baaton mein rat katna,

    ~kabhi hasana kbahi rulana,
    ~kabhi roothna kabhi manana,

    ~jo yaad aaon to load aan. . ? ?

    ~Humein tumari hi justuju hay,

    ~Tumhari chahat ki aarzu hay,

    ~Humari baatain kabhi to samjho,

    ~Humari chup mein bhi guftugu hay,

    ~samaj sako to humein batana,

    ~jo yaad aaon to loat aana,

  10. #58
    Join Date
    04 Nov 2013
    Location
    Gujar Khan
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    622
    Threads
    39
    Credits
    407
    Thanked
    43

    Default

    Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

    Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge

    Bano Ge Hum Se Rehem K Taalib

    Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

    Adaa K Qissay Hue Purany

    Jafa Ka Mosam Khatam Hi Samjho

    Karenge Tum Se Hisaab Jana

    Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

    Wafa Ki Lalach Me Hum Ne Jana

    Khoon Apna Jala Diya Hai

    Faraib-o-Masti K Badlay Tum Ko

    Saza Bhi Sun Lo Shadeed Denge

    Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

    Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge...

  11. #59
    Join Date
    04 Nov 2013
    Location
    Gujar Khan
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    622
    Threads
    39
    Credits
    407
    Thanked
    43

    Default

    ﭘﯿﺎﺭ ﺍﮎ ﭘﮭﻮﻝ ﮨﮯ ﺍﺱ ﭘﮭﻮﻝ ﮐﯽ ﺧﻮﺷﺒﻮ ﺗﻢ ﮨﻮ
    ﻣﯿﺮﺍ ﭼﮩﺮﮦ، ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ، ﻣﯿﺮﮮ ﮔﯿﺴﻮ ﺗﻢ ﮨﻮ
    ﺩﻭﺭ ﮨﻮ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﻣﮕﺮ ﭘﺎﺱ ﻧﻈﺮ ﺁﺗﮯ ﮨﻮ
    ﻣﯿﺮﺍ ﺟﺬﺑﮧ، ﻣﺮﺍ ﺍﺣﺴﺎﺱ ﻧﻈﺮ ﺁﺗﮯ ﮨﻮ
    ﺯﻧﺪﮔﯽ ﺑﻦ ﮐﮯ ﺟﻮ ﭼﮭﺎﯾﺎ ﮨﮯ ﻭﮦ ﺟﺎﺩﻭ ﺗﻢ ﮨﻮ
    ﻣﯿﺮﺍ ﭼﮩﺮﮦ، ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ، ﻣﯿﺮﮮ ﮔﯿﺴﻮ ﺗﻢ ﮨﻮ
    ﺟﺐ ﺑﮭﯽ ﺗﻨﮩﺎﺋﯽ ﻣﯿﮟ ﺁﮨﭧ ﺳﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﭘﺎﺗﯽ ﮨﻮﮞ
    ﯾﮧ ﺳﻤﺠﮫ ﮐﺮ ﻣﯿﮟ ﮨﻮﺍﺅﮞ ﺳﮯ ﻟﭙﭧ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﻮﮞ
    ﺟﯿﺴﮯ ﻣﯿﺮﮮ ﻟﯿﮯ ﮐﮭﻮﻟﮯ ﺑﺎﺯﻭ ﺗﻢ ﮨﻮ
    ﻣﯿﺮﺍ ﭼﮩﺮﮦ، ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ، ﻣﯿﺮﮮ ﮔﯿﺴﻮ ﺗﻢ ﮨﻮ
    ﺗﻢ ﻣﺮﮮ ﭘﺎﺱ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮ ﻣﺠﮭﮯ ﺍﺱ ﮐﺎ ﻏﻢ ﮨﮯ
    ﺗﻢ ﺧﯿﺎﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺗﻮ ﺁﺋﮯ ﮨﻮ ﯾﮩﯽ ﮐﯿﺎ ﮐﻢ ﮨﮯ
    ﻣﺮﯼ ﺗﻨﮩﺎﺋﯽ میں ﭨﭙﮑﺎ ﮨﻮﺍ ﺁﻧﺴﻮ ﺗﻢ ﮨﻮ
    ﻣﯿﺮﺍ ﭼﮩﺮﮦ، ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ، ﻣﯿﺮﮮ ﮔﯿﺴﻮ ﺗﻢ ﮨﻮ

  12. #60
    Join Date
    04 Nov 2013
    Location
    Gujar Khan
    Age
    35
    Gender
    Male
    Posts
    622
    Threads
    39
    Credits
    407
    Thanked
    43

    Default

    Safar main Shaam Hone tak to Mere sath Reh jao,

    Naya Manzar Ubharne tak to Mere sath Reh jao,

    Laho Roti Hui Aankhein Tere Qadmon se Lipti hain,

    Mere Aansu Theharne tak to Mere sath Reh jao,

    Tumhein Maloom hai mujh ko khizaan se khouf Aata hai,

    So ye Mosam Guzarne tak to Mere sath Reh jao,

    Phir Us k baad jab chaho
    Jahan chaho chale jana,

    Meri Sansein Bikharne tak to Mere sath Reh jao..

Page 5 of 7 FirstFirst ... 234567 LastLast

Similar Threads

  1. Likhi Hai Ye Ghazal "SIRF TERE LIYE"
    By tauqeer king in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 5
    Last Post: 27th January 2022, 06:14 AM
  2. Ghazal
    By sibghati in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 1
    Last Post: 21st June 2017, 05:39 PM
  3. Muje Ye 2 Ghazal Must Chahye
    By Muntazir_Ktk in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 13
    Last Post: 10th December 2013, 09:05 AM
  4. tu samjhoo ghazal hy.
    By M.Jawad in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 8
    Last Post: 14th December 2009, 05:27 PM
  5. Ghazal Of the Day----Award Goes To......
    By A.A.Yasir in forum Baat cheet
    Replies: 29
    Last Post: 17th June 2009, 09:45 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •