Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 17

Thread: Namaz

  1. #1
    shahzad_lahore is offline Advance Member
    Last Online
    11th February 2022 @ 12:43 PM
    Join Date
    23 Jan 2010
    Posts
    674
    Threads
    110
    Credits
    4,595
    Thanked
    11

    Default Namaz

    Assalam u Aalikum

    Dear Members,

    Main Chahta Hoon Ke Hum Yahan Is Forum Per NAMAZ , WAZU ke barey main discuss karein

    Maslan Kis Namaz Ki niyat Kesey Ki Jaey, Har Namaz ki Kuseyaat ko bhi yahan discuss karein, aur namaz ka sahi tareeqa

    merey zehan main buhaat se sawal hain

    1- namaz partey huwe ager app ko hansi aa jaey matlab app ghar per namaz per rahey hain app ke ghar waley koi apis main koi asi baat ker rahein hoon jo hasey wali baat hai aur app namaz partey huwey hanse parey tu kiya kerna cheye ( matlab namaz ko continue rakha jaey or dubara se namaz ko parha jaey

    (i) yahan per main baat hansney ki ker rahan hoon
    (ii) muskuran ki nahi aur ager app hansney ki bajaey app ki chereh per smile ho tu kiya kiya jaey.


    2- eik aur baat wo ye ke kisi aur form per or yahan mujhey yaad nahi lakin kahain main ne parha tha. merey eik Muslim Bhai ne eik sawal kiya tha

    maslam sahi se yaad nahi lakin koshi kerta hoon app ko samjhane ki

    maslam papers main app kisi sawal ka jawab ko aisey detey hain tu kiya examiner app ko pass karey ga

    farz karein ke question the Ali kahan rehta hai farz karein ye sirf app ko samjhney ki liey hai

    app us ka jawab detey hain abbreviation forum main maslam ali karachi mein eik jaga per rehta hai app aise jawab detey ho ( ali K.C aur us jaga jahan wo rehte hain us area ko bhi isi tarah se leekhety hain (maslam K.C d.p2

    ab a jaey asal sawal ki taraf

    HAZRAT MOHAMMAD PROPHET OF ISLAM ( P.B.U.H) or (S.A.W.W.)

    sawal un Muslim Bhai ka ye tha ke hum jo ye (P.B.U.H) ko is form main lekhtey hain kiya ye sahi hai kiya hum pass ho jaey ge jis raha Ali wali example de app ko. matlab mujhey nahi pata un bhai ka kiya tha shayeed yehi ho ga ke hum ( Peace be upon him ) kyun nahi lekhtey


    Is tarah Wazu Ke barey main bhi

    AUr buhaat kuch yahan seekha jaey app ki madad se


    Kisi Baat Main Sharam na ki jaey ager app ko nahi pata
    maslam mujhey kuch arsa pehley hi pata chala ke Jummah ki nazam ki niyaat ka hai( wasey deekha jaey tu hai tu ye sharam ki baat lakin - lakin ager hum sharma mehsoo karein aur kisi se kuch na puchen tu ye buhaat hi bura hai

    Jummah ki namaz (time zohar ka lakin hum niyaat jumaah ki namaz ka kertey hain ager main galat hoon tu plz zaroor share karein hum yahan per buhat kuch seekhein ge INSHA ALLAH

    yani jumma ki 14 rakat main hum jumaah ki niyaat kerein ge ye sahi hai ke nahi


    Thanks Member's plz app bhi information share karein tak ke merey jasey logoon ko yahan seekheny ko buhaat kuch miley

  2. #2
    AFI is offline Senior Member+
    Last Online
    16th July 2016 @ 08:24 PM
    Join Date
    23 Jan 2007
    Posts
    369
    Threads
    4
    Credits
    945
    Thanked
    7

    Default

    نمار کونسی زبان کا لفظ ہے اور اس زبان ميں اس کے معنی کيا ہے

  3. #3
    hadsee's Avatar
    hadsee is offline Advance Member
    Last Online
    31st July 2022 @ 07:34 PM
    Join Date
    09 Aug 2014
    Location
    Lahore
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    850
    Threads
    122
    Credits
    2,212
    Thanked
    53

    Default

    Bhai pahli baat agr masjid qareeb hai to ghar ma nimaz parni he nai chahye haan agr wo kisi waja se masjid nai ja sakta to ye or baat hai or rahi muskrany ya hansany ki bat to bhai mere khayal se wo nimaz nai kyun k ap farz kro agr hum kisi se call pe baat kr rahay hoty hai to hamary pass chahye koi jitna marzi hansta rahy hum us pe tawajo nai daity even k hum call ma itny madhosh ho jaty hai k humain aas pass ki kuch khabar nai rahti kyun k hamara zehan udhar nai call sunany ma masroof hota hai to ap khud andaza laga lo hum nimaz party nai balke nimaz se jaan churaty hai nimaz k wakat hum us hasti k samny khary hoty hai jiske agy dunya ki har cheez pheeki hoti hai mere khayal se itna behtar hai apko samjany k lye

    ab sawal hai niyat kaisy ki jaye uske lye ap ye video daikhy

    http://tinyurl.com/mrx6mwt

    http://tinyurl.com/lm8clg6

  4. #4
    shahzad_lahore is offline Advance Member
    Last Online
    11th February 2022 @ 12:43 PM
    Join Date
    23 Jan 2010
    Posts
    674
    Threads
    110
    Credits
    4,595
    Thanked
    11

    Default

    Quote hadsee said: View Post
    Bhai pahli baat agr masjid qareeb hai to ghar ma nimaz parni he nai chahye haan agr wo kisi waja se masjid nai ja sakta to ye or baat hai or rahi muskrany ya hansany ki bat to bhai mere khayal se wo nimaz nai kyun k ap farz kro agr hum kisi se call pe baat kr rahay hoty hai to hamary pass chahye koi jitna marzi hansta rahy hum us pe tawajo nai daity even k hum call ma itny madhosh ho jaty hai k humain aas pass ki kuch khabar nai rahti kyun k hamara zehan udhar nai call sunany ma masroof hota hai to ap khud andaza laga lo hum nimaz party nai balke nimaz se jaan churaty hai nimaz k wakat hum us hasti k samny khary hoty hai jiske agy dunya ki har cheez pheeki hoti hai mere khayal se itna behtar hai apko samjany k lye

    ab sawal hai niyat kaisy ki jaye uske lye ap ye video daikhy

    http://tinyurl.com/mrx6mwt

    http://tinyurl.com/lm8clg6


    Assalam u Aalikum

    Thanks Bhai Aap Ne blkul theek kaha lakin aaj kaal loog ka namaz partey waqat bhi un ki tawaja namaz ki taraf nahi hoti matlab buhaat se aise sawalat hain maslan ager koi banda namaz per raha hai masjid main us ke agey se koi guzar jata hai ab wo banda us ko talash ker ke pata hai ke aap merey agey se guzer ker gey ho lakin aisa bhi mumkin hai ke us bandey ne deekha hi na ho tu masla ye ke kiya us bande ki tawaja namaz parnmey ki taraf thi?????????

    ye zaroori nahi bhai ke koi banda ghar per hi namza par raha wo tu tab hi wo jansey ga ya muskuraey ga aisa bhi ho sakta hai ke aaj kaal app bhi agree karo gey aisa bhi hota ho ga ke namaz pertey huwe kisi ki tawaja kahin aur wo aur wo kisi baat per hansey or muskura gaya tu kiya ????????

    (i) namza tu nahi ho gi lakin aisi surat main usey kiya kerna ho ga
    (ii) app ne ye nahi bataya bhai ke jumaah ki tamam rakat ki niyat hum jumaah ki namaz keh ker hi karein gey ya zohar ki namaz keh ker

    > ager banda kisi waja se jummah ki namaz nahi par saka late ho gaya phir wo zohar ki hi niyaat karey ga?

    > ager bandey nahi namaz jummah jamat ke sath ada ki phir baqi tamam ki niyaat jummah ki namza keh ker karey ga???????????


    aur eik aur wo ye ke ager kisi ko namaz ka sahi tareeqa pata hai tu share karey main bhi koshish kerta hoon

    ALLAH hum sab per apni rehmat karey

    plz dua karein all muslim ke liey aur specially for GAZA

    Thanks

  5. #5
    hadsee's Avatar
    hadsee is offline Advance Member
    Last Online
    31st July 2022 @ 07:34 PM
    Join Date
    09 Aug 2014
    Location
    Lahore
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    850
    Threads
    122
    Credits
    2,212
    Thanked
    53

    Default

    Bhai jan itna to ap janty ho k nimaz koi b maaf nai
    isi lye juma ki jitni rakatain hai wo juma ki niyat se pari jaye gi baki rakatain hum zohar ki niyat se parain gy kyun k agr hum sub rakatain juma ki niyat se parain gy to hamari zohar ki nimaz nai ho gi i think ap samj gaye hun gy

    or rahi bat muskrany ki to aisi surat ma nimaz chor daini chahye kyun k jo nimaz ho hi nai rahi usy parny ka faida dobara niyat kr k nimaz parni chahye becoz agr nimaz k wakat ap napak ho jaty ho jaisy mony k niklna peshap k qatry etc us waqat apko kya krna chahye ap nimaz jari rakho gy ya chor dy gy yahi waja hai k humain nimaz dobara parni chahye or ye confrm nai ye mera dil keh raha hai phir b ma kisi se poch k sahi tour pe batao ga

  6. #6
    shahzad_lahore is offline Advance Member
    Last Online
    11th February 2022 @ 12:43 PM
    Join Date
    23 Jan 2010
    Posts
    674
    Threads
    110
    Credits
    4,595
    Thanked
    11

    Default Namaz

    Assalam u Aalikum

    Ok bhai thanks

    namaz ka sahi tareeqa kuch share ker raha hoon

    is ke ilwa ager kisi ke pass kuch mazeed info hai to share karein

    thanks
    Attached Images Attached Images     

  7. #7
    shahzad_lahore is offline Advance Member
    Last Online
    11th February 2022 @ 12:43 PM
    Join Date
    23 Jan 2010
    Posts
    674
    Threads
    110
    Credits
    4,595
    Thanked
    11

    Default Namaz

    Assalam u Aalikum


    kuch mazeed share ker raha hoon

    Thanks
    Attached Images Attached Images     

  8. #8
    shahzad_lahore is offline Advance Member
    Last Online
    11th February 2022 @ 12:43 PM
    Join Date
    23 Jan 2010
    Posts
    674
    Threads
    110
    Credits
    4,595
    Thanked
    11

    Default Namaz

    Assalam u Aalikum


    bhai 1 aur sawal

    ager kisi ko eik hi surat yaad ho aur zahir hai wo her rakat main wohi surat jo usey yaad hai parta ho kiya ye theek hai ke nahi ya aisa ker len ke usey 3 se 4 surat yaad hoon aur unhi surat ko har rakat main wo parey


    eik aur baat wo banda yani QURAN PAK nahi parha ho tu is liey mazeed surat yaad nahi ker sakta ya usey mushilk pess aey


    eik aur baat ke ESHA ki namaz main kuch logoon se suna hai ke ager app ko dua-e-qunoot nahi aati tu ap eik aur choti se surat hai naam yaad nahi wo par lein kiya ye sahi hai


    Thanks

  9. #9
    hadsee's Avatar
    hadsee is offline Advance Member
    Last Online
    31st July 2022 @ 07:34 PM
    Join Date
    09 Aug 2014
    Location
    Lahore
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    850
    Threads
    122
    Credits
    2,212
    Thanked
    53

    Default

    Bhai pahly jo mane ghalat share kiya us k lye mazrat mane apni masjid k imam se pocha usne bataya juma k din jo rakaat hai wo sab juma ki niyat se pari jaye dosri baat nimaz ma muskrany se nimaz nai tootati balkya qehqa lagany se se nimaz tooti hai or teesri baat apko jo surat ati hai wohi bar bar nimaz ma parny se koi haraj nai aik masjid ka imam jb b nimaz parata to Qul shareef he parta is se logo na Hazrat Mohammad ko uski shikayat ki k wo Imam har bar Qul Shareef parta hai apny us imam ko bulaya us se waja pochi to imam ne kaha mjy is sura se payar hai apny usy janay diya jis se sabat hota hai k ap koi b sura jitni marzi bar par sakty ho koi mamant nai

  10. #10
    shahzad_lahore is offline Advance Member
    Last Online
    11th February 2022 @ 12:43 PM
    Join Date
    23 Jan 2010
    Posts
    674
    Threads
    110
    Credits
    4,595
    Thanked
    11

    Default Namaz

    Quote hadsee said: View Post
    Bhai pahly jo mane ghalat share kiya us k lye mazrat mane apni masjid k imam se pocha usne bataya juma k din jo rakaat hai wo sab juma ki niyat se pari jaye dosri baat nimaz ma muskrany se nimaz nai tootati balkya qehqa lagany se se nimaz tooti hai or teesri baat apko jo surat ati hai wohi bar bar nimaz ma parny se koi haraj nai aik masjid ka imam jb b nimaz parata to Qul shareef he parta is se logo na Hazrat Mohammad ko uski shikayat ki k wo Imam har bar Qul Shareef parta hai apny us imam ko bulaya us se waja pochi to imam ne kaha mjy is sura se payar hai apny usy janay diya jis se sabat hota hai k ap koi b sura jitni marzi bar par sakty ho koi mamant nai


    ASSALAM U AALIKUM

    Thanks Payarey Bhai

    Dear koi Baat Nahi Mazraat Ki koi baat nahi

    Mujhey is baat ka pata tha ke jumma ki raktoon main niyaat jumaa ki hi ki jati hai jab app ne jawab diya main ne app se is barey main puchna tha lakin sorry merey net ki speed slow thi tu main is per baat nahi ker saka

    1-bhai jo shaks jumma miss ker dey yani masjid late aaya aur jummah ke farz ko nahi parh saka ab wo jo namaz parey ga wo zohar ki parey ga aur niyaat bhi zohar ki karey ga. wo 12 raktey ada karey ga( i think i am right?)

    2-jummah ki 14 raktey hoti hain. 4 sunnat 2 farz jummah ke jo imam sb. parhatey hain phir 4 sunnat phir 2 sunnat aur phir 2 nafal yuon (ye 14 hoon gi)

    >>> kuch log 4 sunnat phir jumma ke 2 farz ke baad 2 sunnat aur phir 2 nafal partey hain

    >>> zohar ke jo 4 farz hain ( ager app ne namaz jumma aada ki ab app 4 sunnat parein gey na ke 4 farz.

    ALLAH ka shukar hai bhai main ne QURAN PAK parha howa hai mujhey kafi surtein aati hain main ne ye sawal is liey pucha ke kuch log aisi bhi hotey hain jioon ne QURAN PAK nahi parha hota un ke liey mushkil hoti hai merey zehan main ye sawal aaya tha is liey pucha tha

    ALLAH MAF KAREY AGER KOI GALTI HAI MERI IS INFORMATION MAIN TU PLZ BATAIEN ZAROOR


    Q: koi bhi NAMAZ parha sakta hai ya jiss ISLAM ka ilam wo sirf wo
    matlab farz karein NAMAZ tu buhaat se log partey hain uney pata bhi hai NAMAZ ke barey main tu kiya wo NAMAZ parha saktey hain ya nahi????


    Q: Witr ke 3 fraz jo esha ki NAMAZ hi kyun hai is ki kiya waja hai jab ke app deekhein ke sunnatein nafal aur farz (fajr aur asar ko shor ker bagi main hain lakin witr sirf esha ki NAMAZ main hi kyun???????????

    Q: main ne kafi logoon ko deekha hai ke specially Asar ki NAMAZ ke 4 sunnat kafi log nahi partey kyun?????????? ( mujey ye pata hai ke Asar aur Esha ki NAMAZ ke 4 sunnat ghair mokadda hain. lakin ghair mokadda Asar aur Esha ki kyun hain???

    Q: Ager main 2 sunnat fajar ki shor doon aur sirf 2 farz hi paroon tu kiya meri fajar ki namza ho jaey gi???


    Q: magrib ke 3 farz hain 4 kyun nahi hain??? ( waisey hi merey zehn main ye baat ayi hai app deekhein ke 2 farz aur 4 farz tu hain lakin 3 nahi hain.

    baqi question jasey jasey zehen main aeein gein tab discuss karoon ga.

    Thanks
    plz prayer for all Muslims and specially for GAZA
    Attached Images Attached Images  

  11. #11
    shehzadamc is offline Senior Member+
    Last Online
    9th December 2014 @ 03:17 PM
    Join Date
    19 Apr 2014
    Age
    31
    Gender
    Male
    Posts
    533
    Threads
    1
    Credits
    0
    Thanked
    20

    Default

    agree with hadsee.
    External Links in Signature and Face Book Link anywhere in ITD is not allowed to Share
    Signature Removed by ITD Team

  12. #12
    haniya11 is offline Senior Member+
    Last Online
    16th January 2017 @ 02:58 PM
    Join Date
    17 Jun 2014
    Gender
    Female
    Posts
    32
    Threads
    3
    Credits
    91
    Thanked: 1

    Default

    Malumat main izafa karnay ka behad shukria.. Allah ap ko es ka ajar day ameen.

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 3
    Last Post: 15th August 2014, 03:59 PM
  2. Replies: 2
    Last Post: 18th January 2013, 04:19 PM
  3. Eid-ul-azha most needy information(Part 2)
    By Jamali33 in forum Eid-al-Adha 2023
    Replies: 4
    Last Post: 21st October 2012, 01:00 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •