Assalam o Alaikum
Dear All!

Oper dia gya title dekh kar ap log wakai chaunk gay hon gy lekin ye wakai meri 4th post hy aur baki 3 post unsolved hain abhi tak. Is leye ab dil he ni krta koi query post krne ko. Lekin kia kren ITDunya k sath apna relation qaem rehna lazmi hai. Is ley aik aur question pochna chahta hon ap logon sy agr koi help ho saky to please help kr den.

Mene apne office men kam krne k leye aik database bnai hy aur us men kuch reports hain for exmpl "Rpt1" and "Rpt2". Aur "Rpt1" men jo controls use keye gay hain un men aik text box control bhi hy jis men "SUM" function use kia gya hai. Is txtbox ka name "txt36" hy. Mera problem ye hai keh men "Rpt1" k issi "txt36" ki jo values ati hain wohi men "Rpt2" men page footer men chahta hon. Mene is kam k leye ye expression try ki
Reports![Rtp1]![txt36]
but is ka result "Error" ata hy.
Plz agr ap logon men sy koi database expert hain to meri help farmaen.
Thanks in anticipation.