lehje se uth raha tha har ik
dard ka dhuaan…
chehra bata raha tha k
kuch ganwa diya…
aawaz mein thayrao tha
aankhoon mein nami thi…
or keh raha tha k mein ne
sab kuch bhula diya…
Sab se chupa kar dard jo
woh muskura diya…
us ki hansi ne to aaj mujhe
rula diya….
jane kya us ko logon sey
thein shikayatein…
tanhaiyon ke daish mein
khud ko basa diya…
khud bhi woh hum sey
bichar kar adhura sa ho
gaya….
mujh ko bhi itne logon mein
tanha bana diya…
Bookmarks