Asslam-O-Alaikum

Dosto main laptop lena chah raha hoon. Meri range 40 Thousand tak hai. Mujhe mashwara chahye k main kis company ka Laptop kharidon. Dell best rahay ga ya k SONY ya HP?

Mujhe zaati tor par SONY pasand han. Main 2nd hand laptop lena chah raha hoon. Agar kisi bhai k pass laptop mojood hai aur wo apnay laptop sey mutmaen hai tou wo mujhe us laptop ka model number bata day.

Dosto mujhe ye bhi bata dain k Core I3, I5, I7 is main kiya difference hai???

Aaj kal k laptops maslan 2.27 GHZ processor main atay han mujhe en ki samajh nahi aati k 2.27 kiya hai is k baray main bhi samjhaen kiya ye quad core yani 2.27 ko humain 4 sey multiply karna hoga is ko calculate karne ka kiya tariqa hai?

Aap doston ka bohut shukriya