Tamam ummate Mohammadi ko

Allah aur rassul ke ehsaan se maine ek chotta sa bussiness start karne ka irada kiya hai, licence aur other zaroori chize maine manage karli hain.

aur Domain aur webhosting bhi leli hai, Hostgator se.

mera saamne ab sabse bada challenge jo hai, woh hai website design karna.

waise to kuch tools ki madad se maine temporarily static website creat bhi karli hai aur usko uplode karke active bhi kardiya hai ( www.haprotech.in ), lekin testing purpose se mujhe jaisi website design karni hai uski details niche likh raha hun.


1- Mujhe Dynamic website creat karni hai woh bhi profssional website jaisi.

2- mujhe usmein apni product aur service details mention karni hai.

3- product image ke sath sath pricing bhi.

4- online inquiry sent option ke saath, jismein estimate mangne wala apna data bhi feed karega, jaise uska contact no., uska naam, uski requirement etc.

5- product ki details ke sath uski specifications bhi, jaisa ki flipkart ya snapdeal jaisi website pe product details with pricing with downloadable data sheet.

6- likes to Google+, yahoo, facebook jaise.

7- meri company profile aur meri company certificates downloadable ho lekin only by email.

8- website approx. 20 to 35 pages ki banani hain. lekin abhi flow per work chal raha hai.

abhi bas itna hi socha hai, aur agar aap logon ne sahi advice aur meri puri madad ki to shayad meri soch se bhi behtar website creat hosakti hai.

Allah Hafiz.