Asalamoalikum
Doasto kaisay hain aap sab loag? Umeed hay kay sab ALLAH PAK ki rehmaton say faiz-yab ho rahay hongay ALLAH PAK hum sab pay apni rehmaton ka nazool farmaey, amin
Doasto masla y hay kay kuch din say main kisi bhe site pay, kahen bhe click keroon tau khud ba khud new tab main koi na koi site opn ho jati hay, abhi yahan login hotay howay bhe jab Login kay button pay click kiya tau new tab main aik site open ho gai, ziyada tar koi online shopping ki aur aik muslim rishton ki site open hoti hain :/
Ye aeisay khud ba khud kiyun hota hay?
Koi tareeka hay kiya jis say ye ruk jaey? Aaj main nay windows bhe install ki hay laikin dhaak kay wohi teen paat :/
Rahnumaai kay liay abhi say shukriya
Bookmarks