AOA
Doston mere pas Xpod tv device LCD ke sath connected he, aj se ek mahina pehle mein osky remote ke sath khel raha tha tu ghalti se screen resolution highest point pe set karli, phir awaz arahi thi aur picture ghaib hogai, screen pe likha araha tha "Display not supported" 2,3 ghante ki koshesh ke baad diplay resolution normal hogaya aur sab theek chal raha tha.

Problem ab ye he ke dubara bachon ne wahi kia he aur screen resolution high hogai he jo LCD support nahi kar rahi. user manual gum hoa he, online koi download ke lie available nahi. aur hard reset ka koi button nahi, na hi mere pas high resolution ki LCD he ky os ke sath laga kar reset kardun.

Help me what to do.
thanks.