Results 1 to 11 of 11

Thread: Main Or Mera Watan

  1. #1
    Join Date
    13 May 2015
    Location
    Lahore
    Age
    23
    Gender
    Male
    Posts
    304
    Threads
    15
    Credits
    5
    Thanked
    39

    Default Main Or Mera Watan

    Hamara watan Pakistan wo watan nahin jo warasat mein is ke basnay walon ko mila ho balkeh is ki bunyadain istwar karne ke liye mutehda Hindustan ke Musalmanon ki hadiyan eenton ki jagah, gosht garay ki jagah aur khoon pani ki jagah istemal hua hai. Itni garan qadar takhleeq ka andaza wohi laga sakta hai jis ne tameer Pakistan mein tan mann dhan qurban kiye. Pakistan younhi hasil nahin ho gya tha. Is ke husool ke liye lakhon musalmanon ne jaam shahadat nosh kiya. kitni maon ke samne un ke bachay qatal kar diye gye. Kitnay bebason ke samne un ke khandanon ko makan mein band kar ke nazar atish kar diya gya. Kitnay bachay yateem hue jo sari umer apne waldain ki shafqat ke liye tarastay rahe.
    Is ki wadiyan apne andar ranaiyan liye hue hain. Hare bharay aur wasi o areez kheet sona ugal rahe hain. Hum ye bhi dekhtay hain ke humain har qisam ki azadi aur har tarah ka saman asaesh o araesh muyasar hai.

    Mera Watan: 14 August wo mubarak din tha jub Pakistan bana Musalmanon ke ittefaq aur Quaid-e-Azam ke khaloos ki wajah se ye azeem Islami saltanat wajood mein ayi. Hinduon ne tarah tarah ki makariyon se Pakistan ki mukhalfat ki. Angreezon ne bhi bohat rukawatain paida kien magar Khuda ka shukar hai Pakistan ban kar rehna tha aur ban kar hi raha.
    Hamara mutalba haq aur sadaqat par mabni tha. Haq apne aap ko manwa laita hai aur dushmanon ke napak azaim khak mein mil jatay hain. Aaj Pakistan apni azmat ko dunya se tasleem karwa chuka hai. Humain Pakistan se mohabbat hai. Is ke bani se aqeedat hai. Is ke musawir se dili lagao hai.

    Qudrat ne Pakistan ko har naimat se nawaza hai. Daryaon nadi nalon ki afrat hai jis se zameen sairab aur abad ki ja rahi hai. Is mulk ke rehnay walay hunar mand hain. Wo tijarati, sanati aur zarai maidan mein bhi khoob taraqi kar rahe hain aur jangi maharat mein bhi dunya ke behtareen mahireen mein shamil hain. Yahan par kapas, seeds aur chawal kasrat se hote hain jo export bhi hote hain. Madniyat ka zakhira bhi mojood hai. Maslan namak, mitti ka tail, koela aur cement banane ka pathar aur zamurd ke zakhair bhi daryaft ho chuke hain. Mazeed tehqeeq jari hai. Waqt aye ga jub hum petrol mein bhi In Sh Allah khud kafeel ho jayain gey.

    Jidhar dekho jahsn-e-azaadi ki dhoom hai, Hindustan aur Pakistan ke yaum-e-azadi bohat ziayda ehtemaam aur dhoom se manaaye jaate haiN, aur kyun na manaein akhir aek ghair mulk ki qaid se itne jaddo jehad ke baad azadi haasil karna koi mamooli baat nahi. TV per aur Akhbar per dekhiye azadi ke ishtehaar se bhare houe houte hain. Filmi sitaare jashn mein shirket ke liye hindustan se doosre mumalik mein bhi jaate hain, kai taqareeb munaqqid kiye jaate hain kitna kamaal karte hain siasatdaan bhi. Hindustan aur Pakistan dono mulkon ki maujooda halaat dekh ker main souch mein paR jaati hoon ke itne khoon kharaabe ke baad aapas mein aek doosre ke dushman banke aek hi mulk ke rehne wale apne hum zabaan aur apne hi hum watanon ko nuqsan pahunchate hain, khoon ki nadiyaan bahaate hain …. Jab azaadi ki itni ehmiyet hai tou mulk mein ye sab kyun ho raha hai? 6o saal hougaye lekin aaj bhi aek mulk ke rehne wale apne hi hum watanon ke khoon ke piyaase hain mamooli baat per jhagarte hain kahin goli chalti hai tou kahin talwaar ya ibadat gahoN mein bomb phaTte hai !!!

    Aaj mujhe voh din yaad aarahe hain jab waqai azaadi, azaadi lagti thi.
    Khule zehan aur khule jazbaat se mulk ka har bashinda bina tafreeq sab se gale milta tha. Subah 4 baje se mulk ki qaumi ekjahti ke taraane lagaye jaate aur shehar ke har muhalle mein Baladiya ki taraf se saRkon ki safaii houti deewaron per safaidi ki jaati aur jhanda chaRhane ka intezaam. Bas azadi ka din lagta eid ka din hou, jiska koi mazhab nahi bas siraf aek ki mazhab aur voh hai insaniyat!

    Apne talib-e-ilmi ke daur ka aisa hi aek yaum-e-azadi 15th August mujhe yaad aa raha hai. Abbujaan us waqt Commisioner Police ke ohde per faiiz the, ghar mein aur baaher sab per baRi dhaag thi unki, hum jahan jaate humari khoob qatir tawazzu houti. Un dino aur aaj bhi shayed madaaris ke ilawahke ilawa police grounds mein bhi jashn manaya jaata jahan cheifminister jhanda chaRhate the aur ye jshn police aur military forces dono mil ker munaqqid karte .Abbujaan choonke duty per houte the isliye subah humare jaagne se pehle hi chale jaate the. Hum apne pasandeeda kapRe pehante aur bansanwar ker Ammijaan ke saath Police grounds chale jaate.. Police grounds pahunch ker hum wahan aane wale doosre afsaraan ki families ke saath apni apni nishiston per baith jaate aur jashn shuru houne ka intezar karne lagte. Cheifminister ke pahunchte hi aek dam khamoshi si chaa jaati, aur sirf police commands ki awaaz goonjti, hum sab usi taraf mutawjjuh hojaate. Wahan maujood hazaaroN ka hujoom khaRa houjaata aur bohat ehteraam ke saath jhanda chaRhaya jaata , jiske saath hi buglr bajta aur qaumi tarana bhi gaya jaata. Phir sab log khamoshi se baiTh ker parade dekhte.Itne baRe majmua ko sanbhalna us waqt koii mushkil nahi tha , sab apni zimmedari khoob samajhte the. Qanoon aur zaabta daari bhi bohat mazboot houta tha. Is din police aur military apne forces ki parade aur unke paas maujooda wasail ki numaish karte.Kitna khoobsurat lagta tha jab aek ke baad aek barri afwaaj ki parade jiske saath deegar aur mehkume jaise hawaii fauj, baladiya, zira’at, apne apne jadeed wasaiil ke models bana ker numaish karte.In sabke libaas aur harakat mein mukammal eksaaniyat houti. Aaj bhi meri aankhon mein voh manzar ubhar rahe hain, aisa lagta tha ke doosri makhlooq ki tarah insaan bhi azad houa karte the. Honahaar afsaraan ko tamghe diye jaate aur saath cheifminister ki taweel taqreer mein unki bahaduri ka zikr bhi houta. Ye sab itne shandaar paimane per houta tha ke is din ka hum bechaini se intezar karte the. Saara program mukammal houne tak adha din guzar jaata. abbu ke saare dost aur chouTe afsar bhi ghar per milne aate aur kuch khaas doust tou us din ammijaan se fermaish karke special dishes banwaate aisalagta sab aek ahi koi mazhab ki tafreeq nahi.

    Aaj hum apne hi mulk mein aise taqareeb mein jaane se aur apne bachon ko bhejne ghabraate hain ke najaane kis waqt kya houjaaye. dil ranj o gham se bhar aata hai jab mulk ke androon houne wale waqaiyaat akhbar ki surkhiyaan banker saari duniya mein phailti hain, roti bilakti aurateiN aur zakhmi bachche aur unki tasweerien chapti hain….kya yehi azadi hai?

    Phir bhi in sab ke bawajood mulk se muhabbat kam nahi hoti jis mulk mein hum paida houte hain us mulk se roohani muhabbat hoti hai. Kaash!! Kaash voh din phir se laut aayein !! Aaiye hum sab milker ahad kareiN ke hum sab aek houker apne apne mulkon ke liye kaam kareiN aur kamyaabi haasil kareiN.
    “Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
    Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
    Karta nahin kyun doosra kuch baat-cheet
    Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai
    Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
    Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai
    Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

  2. #2
    Join Date
    20 Mar 2013
    Location
    Kot Qaisrani
    Age
    28
    Gender
    Male
    Posts
    3,342
    Threads
    332
    Credits
    352
    Thanked
    222

  3. #3
    Join Date
    24 Aug 2013
    Location
    MinwaLi
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    6,153
    Threads
    374
    Credits
    10,191
    Thanked
    442

    Default

    نائیس شیئرنگ
    Never Stop Learning And Growing

  4. #4
    Anees.Khan is offline Member
    Last Online
    6th October 2016 @ 09:01 PM
    Join Date
    18 Dec 2014
    Location
    @itdunya.com
    Age
    28
    Gender
    Male
    Posts
    6,040
    Threads
    333
    Thanked
    627

    Default

    Bohot hi umda JazakAllah

  5. #5
    Mehtab33's Avatar
    Mehtab33 is offline Member
    Last Online
    6th August 2015 @ 08:39 PM
    Join Date
    25 Dec 2014
    Location
    @Itdunya.com
    Gender
    Male
    Posts
    1,631
    Threads
    188
    Thanked
    169

    Default

    bohat he achy

  6. #6
    SHonas's Avatar
    SHonas is offline Advance Member+
    Last Online
    2nd December 2021 @ 10:42 PM
    Join Date
    20 Sep 2013
    Location
    Karachi
    Gender
    Female
    Posts
    11,115
    Threads
    287
    Credits
    3,413
    Thanked
    1722

    Default

    ڈئیر ممبر آپ کا تھریڈ لاجواب ہے بہت اچھا لکھا ہے آ پ نے
    آپ کی انٹری مقابلے میں شامل ہے یا نہیں یہ تو فاطمہ بہنا بتائیں گیں
    FatimaShah
    آپ کا تھریڈ اردو ادب سیکشن سے موو کردیا گیا ہے
    کیونکہ وہاں صرف اردو میں تھریڈ بنانے کی ایجازت ہے اور آپ کا تھریڈ رومن اردو میں ہے
    TRE-Rizwan
    رولز کو ایک بار پھر پڑھ لیں
    اس مقابلے میں حصہ لینے والے ممبر کی ریجسٹریشن کم ازکم دوماہ ہونا لازمی ہے۔۔
    اور کم ازکم سو پوسٹس ہونا ضروری ہے۔۔۔
    حصہ لینے کا شکریہ

  7. #7
    FatimaShah's Avatar
    FatimaShah is offline Advance Member
    Last Online
    25th April 2020 @ 05:01 PM
    Join Date
    02 Aug 2014
    Gender
    Female
    Posts
    6,314
    Threads
    153
    Credits
    1,103
    Thanked
    1119

    Default

    بھائی میں ابھی ہی آنلائن آئی ہوں ۔۔۔آپکی تحریر نہیں پڑھی۔۔۔

    رومن اردو بھی کنٹیسٹ میں شامل ہے لیکن،،،۔۔۔
    رجسٹریشن اور پوسٹ یہ دونوں رولز خاص طور سے ایڈمن کے ایڈ کئے ہوئے ہیں۔۔۔۔
    سو کنٹیسٹ کا رزلٹ رولز کو فالو کرتے ہوئے ہی اناونس کیا جائیگا۔۔۔۔
    Quote SHonas said: View Post
    ڈئیر ممبر آپ کا تھریڈ لاجواب ہے بہت اچھا لکھا ہے آ پ نے
    آپ کی انٹری مقابلے میں شامل ہے یا نہیں یہ تو فاطمہ بہنا بتائیں گیں
    FatimaShah
    آپ کا تھریڈ اردو ادب سیکشن سے موو کردیا گیا ہے
    کیونکہ وہاں صرف اردو میں تھریڈ بنانے کی ایجازت ہے اور آپ کا تھریڈ رومن اردو میں ہے
    TRE-Rizwan
    رولز کو ایک بار پھر پڑھ لیں
    اس مقابلے میں حصہ لینے والے ممبر کی ریجسٹریشن کم ازکم دوماہ ہونا لازمی ہے۔۔
    اور کم ازکم سو پوسٹس ہونا ضروری ہے۔۔۔
    حصہ لینے کا شکریہ

  8. #8
    Ibrar654's Avatar
    Ibrar654 is offline Advance Member
    Last Online
    17th December 2022 @ 12:28 PM
    Join Date
    25 May 2015
    Location
    Mianwali
    Age
    26
    Gender
    Male
    Posts
    2,739
    Threads
    91
    Credits
    190
    Thanked
    195

    Default

    ‎بھائی بہت اچھے اچھی تحریر لکھی ہے آپ نے آپ کو میری طرف سے



  9. #9
    Join Date
    13 May 2015
    Location
    Lahore
    Age
    23
    Gender
    Male
    Posts
    304
    Threads
    15
    Credits
    5
    Thanked
    39

    Default

    Quote Ibrar654 said: View Post
    ‎بھائی بہت اچھے اچھی تحریر لکھی ہے آپ نے آپ کو میری طرف سے


    Thanks Bhai Aap Ko Bhi azadi mubarik

  10. #10
    Irfan Ch48's Avatar
    Irfan Ch48 is offline Advance Member
    Last Online
    2nd March 2024 @ 10:56 PM
    Join Date
    26 Nov 2012
    Location
    Ahmadpur East
    Gender
    Male
    Posts
    1,137
    Threads
    38
    Credits
    1,896
    Thanked
    53

    Default


  11. #11
    ZeeshanK786's Avatar
    ZeeshanK786 is offline Senior Member+
    Last Online
    27th June 2022 @ 09:13 AM
    Join Date
    01 Feb 2015
    Location
    Chowk Munda
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    154
    Threads
    35
    Credits
    392
    Thanked
    11

    Default

    NICE SHARING...

Similar Threads

  1. Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
    By sibghati in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 285
    Last Post: 21st December 2021, 03:20 AM
  2. main aur mera watan
    By murtazahaide in forum 14 August 2023.....Independence Day
    Replies: 51
    Last Post: 23rd August 2015, 03:47 PM
  3. Shezan Ki Masnooat Ka Baikat Kejiye
    By Fasih ud Din in forum Khatm-e-Nabuwat
    Replies: 132
    Last Post: 21st September 2014, 06:26 PM
  4. Solved Eng Main Kar dain achi si achi engain
    By Taha_Ali in forum Solved Problems (IT)
    Replies: 4
    Last Post: 2nd February 2012, 08:11 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •