Results 1 to 4 of 4

Thread: " Khud kO bhi sAmjhA paO gi "

  1. #1
    Horain is offline Junior Member
    Last Online
    14th December 2015 @ 04:48 PM
    Join Date
    18 Sep 2015
    Gender
    Female
    Posts
    23
    Threads
    5
    Credits
    0
    Thanked
    2

    Default " Khud kO bhi sAmjhA paO gi "

    Bazahir aam lehjay main
    Kaha tha main ne jab us se

    "Badal lo raasta apna
    Juda rahain yaheen ker lo
    Hamaray chahnay na chahnay se
    Kuch nahi hota
    Yahi sach hai k hum do mukhtalif
    Rasston ke raahi hai
    To phir kion dil ki manain hum
    Shuru main manti hoon main
    Azziyat dil ko pohanchay gi
    Magar phir waqt guzray ga
    Sabhi zakhmon ko bhar de ga"

    Meray is aam se lehjay pe wo
    Ik pal ko chonka tha
    Meri aankhon main aankhain daal kar
    Hairat se poocha tha

    "Ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"

    Bohat hi jee kar'da kar k
    Main us dam muskurayi thi
    Bohat khud pe jabar kar ke
    Main us se keh ye payi thi

    "Meri tum fikr rehnay do
    Sambhal jaoon gi main khud hi
    Sabhi zakhmon ko seh loon gi
    Bhula kar sari batoon ko
    Akeli bhi main jee loon gi"

    Buhat hi be yaqeen aakhoon se
    Us ne mujh ko dekha aur
    Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya

    Aur ab tark_e_taalluq ko
    Agarche umar beeti hai
    Magar is dil pe us ki zaat ka
    Jo naqsh qaaim tha
    Kabhi dhundla nahi hota
    Mujhay mehsoos hota hai
    Ke jaisay meray kanoon main
    Wo apni bolti aankhoon se
    Sargoshi si karta hai

    "WOH SAB JO KEH RAHI THEEN
    KHUD KO WOH SAMJHA BHI PAYI HO?"

  2. #2
    Safdar Mohel is offline Senior Member+
    Last Online
    18th October 2020 @ 09:17 PM
    Join Date
    22 Jun 2014
    Location
    Bahawalpr
    Age
    29
    Gender
    Male
    Posts
    706
    Threads
    7
    Credits
    223
    Thanked
    21

    Default

    Nice

  3. #3
    Aemi shah 54 is offline Senior Member+
    Last Online
    25th February 2016 @ 09:19 PM
    Join Date
    29 Sep 2015
    Gender
    Male
    Posts
    166
    Threads
    6
    Credits
    930
    Thanked
    9

    Default

    zabardast

  4. #4
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,912
    Threads
    482
    Credits
    148,899
    Thanked
    970

    Default

    بہت اچھے

Similar Threads

  1. Xperia z usb connect hony k baad khud ba khud disconnect ho jata hai
    By Qasim Khan1 in forum Mobile phones problems and Help Zone
    Replies: 3
    Last Post: 6th July 2015, 03:13 PM
  2. Ab apni telenor ki sim khud hi block karin or active karin
    By ammhai in forum General Mobile Discussion
    Replies: 64
    Last Post: 3rd June 2012, 07:20 PM
  3. khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun maen
    By Hassaan Khan in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 12
    Last Post: 1st March 2010, 07:17 PM
  4. Khud ko paRhtaa huuN, chhoR detaa huuN
    By ammhai in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 5
    Last Post: 27th September 2009, 07:08 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •