Results 1 to 4 of 4

Thread: Main aysi muhabbat karta ho'n

  1. #1
    Hassaan Khan's Avatar
    Hassaan Khan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th June 2011 @ 07:30 PM
    Join Date
    19 Jan 2009
    Location
    Karachi
    Age
    35
    Posts
    435
    Threads
    110
    Credits
    950
    Thanked: 1

    Default Main aysi muhabbat karta ho'n

    Main aysi muhabbat karta ho'n
    tum kaise muhabbat karti ho..?
    Nakam nahi, nashad nahi
    main Qeais nahi, Farhad nahi
    Bunno bhi nahi, Ranja bhi nahi
    Wamique bhi nahi, Mirza bhi nahi
    wo log to bas afsana thay
    is shiddat se be'gana thay
    main zinda aik haqiqat ho'n
    sar-tapa jazba-e-ulfat ho'n
    har lamha tum pe marta ho'n
    Main aysi muhabbat karta ho'n
    tum kaise muhabbat karti ho..?
    tum jaha'n bhi beth k jati ho
    jis chez ho hath lagati ho
    main wahi'n pe betha rehta ho'n
    us chez ko chuta rehta ho'n
    tum jis se hans k milti ho
    main us ko Dost banata ho'n
    tum jis raste pe chalti ho
    main us se aata jata ho'n
    Main aysi muhabbat karta ho'n
    tum kaise muhabbat karti ho..?
    tum jin ko dekhti rehti ho
    wo khwab sarhane rakhta ho'n
    main tum se milne julne k
    kitne he bahane rakhta ho'n
    kuch khwab saja kr aankho'n me
    palkho'n se moti chunta ho'n
    koi lams agar chu jai to
    main pehro'n us ko sochta ho'n
    Main aysi muhabbat karta ho'n
    tum kaise muhabbat karti ho..?
    jin logo'n me tum rehti ho
    tum jin se batai'n karti ho
    tum jin se hans k milti ho
    jo tum ko achay lagtay hay
    wahi'n mujh ko achay lagtay hay
    Main aysi muhabbat karta ho'n
    tum kaise muhabbat karti ho..?
    jis bagh me subho ko jati ho
    jis sabzay pe tum chalti ho
    jo shakh tumhai'n chu jata hay
    jo kushbo'n tum ko bhati hay
    wo ous tumharay chehre pr
    jo qatra qatra girti hay
    wo titli chor k phoolo'n ko
    jo tum se milne aati hay
    jo tum ko chune aati hay
    un sub k nazuk jazbo'n me
    mere DIL ki dharkan basti hay
    meri ruh bhi shamil rehti hay
    tum paas raho ya door raho
    nazro'n me samaie rehti ho
    main tum ko takta rehta ho'n
    main tum ko sochta rehta ho'n
    Main aysi muhabbat karta ho'n
    tum kaise muhabbat karti ho..?


  2. #2
    Hassaan Khan's Avatar
    Hassaan Khan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th June 2011 @ 07:30 PM
    Join Date
    19 Jan 2009
    Location
    Karachi
    Age
    35
    Posts
    435
    Threads
    110
    Credits
    950
    Thanked: 1

    Default

    kuch tu hwa bhi sard thi kuch tha tera khyal bhi
    dil ko khushi ke sath hota raha malal bhi
    meri talab tha woh ik shaks jo nahn mila tu phir
    hath dua se youn gira jaise bhool gaya swal bhi

  3. #3
    Gr8^Masood's Avatar
    Gr8^Masood is offline Senior Member+
    Last Online
    18th September 2013 @ 10:50 AM
    Join Date
    23 Jul 2009
    Location
    Khi
    Age
    39
    Gender
    Male
    Posts
    42,351
    Threads
    1398
    Credits
    970
    Thanked
    2855

    Default

    اسلام علیکم
    بہت خوب۔۔۔۔۔بہت عمدہ انتخاب
    اُمید ہے آپ اُردو ادب کے بزم کو اسی طرح
    خوبصورت اشعار سے سجاتے رہنگے
    شیئر کرنے کا بے حد شکریہ

  4. #4
    Join Date
    18 Apr 2009
    Gender
    Male
    Posts
    22,012
    Threads
    145
    Credits
    0
    Thanked
    316

    Default

    Bohat Khoob....Bohat umda sharing ke hai apne .......
    Share karne ka Bohat Bohat Shukarya

Similar Threads

  1. Saal-e-noo main ik aysi barish ho
    By engrkaram in forum Design Poetry
    Replies: 4
    Last Post: 2nd November 2012, 11:11 PM
  2. Replies: 6
    Last Post: 1st July 2011, 04:17 PM
  3. Bhala Befez Logon Se Muhabbat Kon Karta Hai
    By Shehzad Iqbal in forum Design Poetry
    Replies: 9
    Last Post: 28th April 2010, 10:08 PM
  4. Bhala Befez Logon Se Muhabbat Kon Karta Hai
    By Shehzad Iqbal in forum Design Poetry
    Replies: 4
    Last Post: 27th April 2010, 09:23 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •