Dost ban ker bhi nahi sath nibhane wala
wohi andaz hai zalim ka zamane wala

abb usey log samghte hain giraftar mera
sakth nadim haimughey daam main lane wala

subhdam chord gia nighate gull ki soorat
raat ko ghunchadil main simat aane wala

kia kahain kitne marasim thay hamare iss sa
woh jo ik sakhs hai muun pher ke jane wala

terte hote huye aa jati thi sari duniya
ajj tanha hoon to koi nahi hai aane wala

muntazir kis ka hoon tooti hui dehleez pe main
kon aye ga yahan kon hai aane wala

kia khaber thi jo meri jaan main ghula hai itna
hai wohi mugh ko sare dar bhi lane wala

main ne dekha hai baharon main chaman ko jalte
hai koi khwab ki tabeer batane wala

tum takaluf ko bhi akhlas samghte ho faraz
dost hota nahi her hath mile wala