Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera,

Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera,

Billi to yunhi muft main badnaam huyi,

Thailaymein to kuch aur thasamaanwagera,

Be¡¯hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna,

Jis tarah police karti hai chalaan wagera,

Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai,

Ab apnihathelipe hain dandaan* wagera,

Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar,

Yun chaak kiya hum ne garebaan* wagera..