zameen pe chal na saka aur asman se bhi gaya
kata ke per ko parinda uraan se bhi gaya
bhula diya to bhulane ki intaha kar di
woh shaks to mere wehm-o-ghuman se bhi gaya
kisi ke hath se nikla hua teer hoon mein
jo hadaf ko choo na saka aur kamaan se bhi gaya
tabah kar gayi mujhey pakke makaan ki khawaish
mein apne ga'oun ke kachay makaan se bhi gaya
tapti aag mein kooda to kya milla
ussay bacha na saka aur apni jaan se bhi gaya
Bookmarks