Results 1 to 2 of 2

Thread: jawab e shikwa full

  1. #1
    abdul ab is offline Senior Member+
    Last Online
    29th August 2017 @ 01:33 PM
    Join Date
    08 Aug 2015
    Age
    27
    Gender
    Male
    Posts
    265
    Threads
    62
    Credits
    2,484
    Thanked
    12

    Thumbs up jawab e shikwa full

    Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai Par Nahin Taaqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai

    Dil Se Jo Baat Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai
    Par Nahin, Taaqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai

    Qudsi-Ul-Asal Hai, Riffat Pe Nazar Rakhti Hai
    Khaak Se Uthti Hai, Gardoon Pe Guzar Rakhti Hai

    Ishq Tha Fitna Gar-o-Sarkash-o-Chalaak Mera
    Aasman Cheer Gaya Nala-e-Bebaak Mera

    Peer-e-Gardoon Ne Kaha Sun Ke, Kahin Hai Koi!
    Bole Sayyaare, Sar-e-Arsh-e-Bareen Hai Koi!

    Chaand Kahta Tha, Nahin, Ahl-e-Zameen Hai Koi!
    Kehkashaan Kehti Thi, Poshida Yahin Hai Koi!

    Kuch Jo Samjha Tau Mere Shikwe Ko Rizwan Samjha
    Mujhe Jannat Se Nikala Huwa Insan Samjha

    Thi Farishton Ko Bhi Hairat, Ke Yeh Awaz Hai Kya!
    Arsh Walon Pe Bhi Khulta Nahin Yeh Raaz Hai Kya!

    Taa Sar-e-Arsh Bhi Insan Ki Tag-o-Taaz Hai Kya?
    Aa Gyi Khak Ki Chutki Ko Bhi Parwaaz Hai Kya?

    Ghafil Aadaab Se Yeh Sukkaan-e-Zameen Kaise Hain
    Shokh-o-Gustakh Yeh Pasti Ke Makeen Kaise Hain!

    Iss Qadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham Hai
    Tha Jo Masjood-e-Malaeek Yeh Wohi Aadam Hai?

    Alam-e-Kaif Hai, Dana-e-Ramooz-e-Kam Hai
    Haan, Magar Ijz Ke Asrar Se Namehram Hai

    Naaz Hai Taaqat-e-Guftaar Pe Insanon Ko
    Baat Karne Ka Saliqa Nahin Nadanon Ko!

    Ayi Aawaz Ghum-Angaiz Hai Afsana Tera
    Ashk-e-Betaab Se Labraiz Hai Paimana Tera

    Asmangeer Huwa Naara-e-Mastana Tera
    Kis Qadar Shokh Zuban Hai Dil-e-Diwana Tera

    Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-e-Ada Se Tu Ne
    Hum Sukhan Kar Diya Bandon Ko Khuda Se Tu Ne

    Hum Tau Mayal Ba-Karam Hain, Koi Sayal Hi Nahin
    Rah Dikhlaen Kise Rahraw-e-Manzil Hi Nahin

    Tarbiat Aam Tau Hai, Jauhar-e-Qabil Hi Nahin
    Jis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahin

    Koi Qabil Ho Tau Hum Shan-e-Kai Dete Hain
    Dhoondne Walon Ko Dunya Bhi Nai Dete Hain!

    Hath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar Hain
    Ummati Baais-e-Ruswai-e-Paighamber (S.A.W) Hain

    But-Shikan Uth Gaye, Baqi Jo Rahe But-Gar Hain
    Tha Braheem Pidar, Aur Pisar Aazar Hain

    Badah Aasham Naye, Bada Naya, Khum Bhi Naye
    Harm-e-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye

    Woh Bhi Din The Ke Yehi Maya-e-Raanai Tha
    Nazish-e-Mousam-e-Gul Lala-e-Sahrai Tha!

    Jo Musalmaan Tha Allah Ka Saudai Tha
    Kabhi Mehboob Tumhara Yehi Harjai Tha

    Kisi Yakjai Se Ab Ehd-e-Ghulami Kar Lo
    Millat-e-Ahmad (S.A.W.) Ko Maqami Kar Lo!

    Kis Qadar Tum Pe Garan Subah Ki Baidari Hai
    Hum Se Kab Pyar Hai! Haan Neend Tumhain Pyari Hai

    Tabaa-e-Azad Pe Qaid-e-Ramazan Bhari Hai
    Tumhi Keh Do, Yehi Aaeen-e-Wafadari Hai?

    Qoum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahin, Tum Bhi Nahin
    Jazb-e-Baham Jo Nahin, Mehfil-e-Anjum Bhi Nahin

    Jin Ko Ata Nahin Dunya Mein Koi Fann, Tum Ho
    Nahin Jis Qoum Ko Parwaye Nasheman, Tum Ho

    Bijliyan Jis Mein Hon Aasudah, Woh Khirman Tum Ho
    Baich Khate Hain Jo Aslaaf Ke Madfan, Tum Ho

    Ho Niko Naam Jo Qabaron Ki Tajarat Kar Ke
    Kya Na Baicho Ge Jo Mil Jaen Sanam Pathar Ke

    Safah-e-Dehr Se Batil Ko Mitaya Kis Ne?
    Nau-e-Insan Ko Ghulami Se Chhuraya Kis Ne?

    Mere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Kis Ne?
    Mere Quran Ko Seenon Se Lagaya Kis Ne?

    The Tou Aaba Woh Tumhare Hi, Magar Tum Kya Ho?
    Hath Par Hath Dhare Muntazir-e-Farda Ho!

    Kya Kaha? "Bahr-e-Musalman Hai Faqt Wade-e-Hoor
    Shikwa Be-Ja Bhi Kare Koi Tau Lazim Hai Shaoor!

    Adal Hai Fatir-e-Hasti Ka Azal Se Dastoor
    Muslim Aaeen Huwa Kafir Tau Mile Hoor-o-Qasoor

    Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahin
    Jalwa-e-Toor Tau Maujood Hai, Moosa Hi Nahin

    Manfa’at Aik Hai Is Qaum Ki, Nuqsan Bhi Aik
    Ek Hi Sab Ka Nabi (S.A.W), Din Bhi, Iman Bhi Aik

    Harm-e-Paak Bhi, Allah Bhi, Quran Bhi Aik,
    Kuch Bari Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Aik!

    Firqa Bandi Hai Kahin, Aur Kahin Zaatain Hain
    Kya Zamane Mein Panapne Ki Yehi Baatain Hain?

    Kon Hai Taarik-e-Aaeen-e-Rasool-e-Mukhtar (S.A.W.)?
    Maslihat Waqt Ki Hai Kis Ke Amal Ka Maayaar?

    Kis Ki Ankhon Mein Samaya Hai Sha’ar-e-Aghyar
    Ho Gyi Kis Ki Nigah Tarz-e-Salaf Se Baizar?

    Qalb Mein Souz Nahin, Rooh Mein Ehsas Nahin
    Kuch Bhi Paigham-e-Muhammad (S.A.W.) Ka Tumhain Paas Nahin

    Jaa Ke Hote Hain Masajid Mein Saf-Aara, Tau Ghareeb
    Zehmat-e-Roza Jo Karte Hain Gawara, Tau Ghareeb

    Naam Leta Hai Agar Koi Hamara, Tau Ghareeb
    Pardah Rakhta Hai Agar Koi Tumhara, Tau Ghareeb

    Umra Nasha-e-Doulat Mein Hain Ghafil Hum Se
    Zinda Hai Millat-e-Baiza Ghurba Ke Dam Se

    Waaiz-e-Qoum Ki Woh Pukhta Khayali Na Rahi
    Barq Taba’ee Na Rahi, Shaola Maqali Na Rahi

    Reh Gyi Rasm-e-Azan, Rooh-e-Bilali Na Rahi
    Falsafa Reh Gya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi

    Masjidain Marsiya Khawan Hain Ke Namazi Na Rahe
    Yani Woh Sahib-e-Ausaf-e-Hijazi Na Rahe

    Shor Hai Ho Gaye Dunya Se Musalman Nabood
    Hum Ye Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujood!

    Waza Mein Tum Ho Nisara, Tau Tamaddun Mein Hanood,
    Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood?

    Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
    Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho!

    Dam-e-Taqreer Thi Muslim Ki Sadaqat Bebak
    Adal Uss Ka Tha Qawi, Loos-e-Mara’at Se Pak

    Shajar-e-Fitrat-e-Muslim Tha Haya Se Namnak
    Tha Shujaat Mein Woh Ek Hasti-e-Fouq-Ul-Idraak

    Khud Gudazi Nam-e-Kaifiat-e-Sehbayesh Bood
    Khali Az Khawaish Shudan Soorat-e-Meenayesh Bood

    Har Musalman Rag-e-Batil Ke Liye Nashtar Tha
    Uss Ke Aaeena-e-Hasti Mein Amal Jouhar Tha

    Jo Bharosa Tha Usse Quwwat-e-Bazoo Par Tha
    Hai Tumhain Mout Ka Dar, Uss Ko Khuda Ka Dar Tha

    Baap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho
    Phir Pisar Qabil-e-Miraas-e-Pidar Kyunkar Ho!

    Har Koi Mast-e-Mai-e-Zauq-e-Tan Asani Hai,
    Tum Musalman Ho? Ye Andaaz-e-Musalmani Hai?

    Haidari Faqr Hai Ne Doulat-e-Usmani Hai
    Tum Ko Aslaaf Se Kya Nisbat-e-Rohani Hai?

    Woh Zamane Mein Mu’azzaz The Musalman Ho Kar
    Aur Tum Khawar Huwe Taarik-e-Quran Ho Kar

    Tum Ho Apas Mein Ghazabnak, Woh Apas Mein Raheem
    Tum Khatakaar-o-Khatabeen, Woh Khata Posh-o-Kareem

    Chahte Sub Hain Ke Hon Auj-e-Surayya Pe Muqeem,
    Pehle Waisa Koi Paida Tau Kare Qalb-e-Salim!

    Takht-e-Faghfoor Bhi Un Ka Tha, Sareer-e-Ke Bhi
    Yunhi Baatain Hain Ke Tum Mein Woh Hameeyyat Hai Bhi?

    Khudkushi Shewa Tumhara, Woh Ghayoor-o-Khuddar
    Tum Akhuwat Se Gurezan, Woh Akhuwat Pe Nisar

    Tum Ho Guftar Sarapa, Woh Sarapa Kirdar
    Tum Taraste Ho Kali Ko, Woh Gulistan Bah Kinar

    Ab Talak Yaad Hai Qoumon Ko Hikayat Un Ki
    Naqsh Hai Safah-e-Hasti Pe Sadaqat Un Ki

    Misl-e-Anjum Ufaq-e-Qoum Pe Roshan Bhi Huwe
    But-e-Hindi Ki Mohabbat Mein Barhman Bhi Huwe

    Shauq-e-Parwaz Mein Mehjoor-e-Nasheman Bhi Huwe
    Be-Amal The Hi Jawan, Deen-e-Se Badzan Bhi Huwe

    In Ko Tehzeeb Ne Har Bande Se Azad Kiya
    La Ke Kaabe Se Sanamkhane Mein Abad Kiya

    Qais Zehmat Kash-e-Tanhai-e-Sehra Na Rahe
    Shehr Ki Khaye Huwa, Bad Ye Pema Na Rahe!

    Woh To Diwana Hai, Basti Mein Rahe Ya Na Rahe
    Ye Zaroori Hai Hijab-e-Rukh-e-Laila Na Rahe!

    Gila-e-Jor Na Ho, Shikwa-e-Baidad Na Ho
    Ishq Azad Hai, Kyun Husn Bhi Azad Na Ho!

    Ehd-e-Nau Barq Hai, Aatish Zan-e-Har Khirman Hai
    Ayman Is Se Koi Sehra No Koi Gulshan Hai

    Is Nayi Aag Ka Aqwam-e-Kuhan Indhan Hai
    Millat-e-Khatam-e-Rusal (S.A.W.) Shaola Ba Perahan Hai

    Aaj Bhi Jo Baraheem (A.S.) Ka Imaan Paida
    Aag Kar Sakti Hai Andaz-e-Gulistan Paida

    Dekh Kar Rang-e-Chaman Ho Na Pareshan Mali
    Koukab-e-Ghuncha Se Shakhain Hain Chamakne Wali

    Khas-o-Khashaak Se Hota Hai Gulistan Khali
    Gul Bar Andaaz Hai Khoon-e-Shuhada Ki Laali

    Rang Gardoon Ka Zara Dekh Tau Unnabi Hai
    Yeh Nikalte Huwe Suraj Ki Ufaq Taabi Hai

    Ummatain Gulshan-e-Hasti Mein Samar Cheeda Bhi Hain
    Aur Mehroom-e-Samar Bhi Hain, Khazan Didah Bhi Hain

    Saikron Nakhl Hain, Kaheeda Bhi, Baleeda Bhi Hain
    Saikron Batan-e-Chaman Mein Abhi Poshida Bhi Hain

    Nakhl-e-Islam Namoona Hai Bru-Mandi Ka
    Phal Hai Ye Saikron Saalon Ki Chaman Bandi Ka

    Pak Hai Gard-e-Watan Se Sirr-e-Daman Tera
    Tu Woh Yousaf Hai Ke Har Misr Hai Kinaan Tera

    Qafila Ho Na Sake Ga Kabhi Weeran Tera
    Ghair Yak Bang-e-Dara Kuch Nahin Saman Tera

    Nakhl-e-Shama Asti-o-Dar Shaola Dawad Resha-e-Tu
    Aaqbat Soz Bawad Saya-e-Andesha-e-Tu

    Tu Na Mit Jaye Ga Iran Ke Mit Jane Se
    Nasha-e-Mai Ko Ta’aluq Nahin Pemane Se

    Hai Ayan Yorish-e-Tataar Ke Afsane Se
    Pasban Mil Gaye Kaabe Ko Sanam Khane Se

    Kashti-e-Haq Ka Zamane Mein Sahara Tu Hai
    Asr-e-Nau Raat Hai, Dhundla Sa Sitara Tu Hai

    Hai Jo Hangama Bipa Yorish-e-Balghari Ka
    Ghafilon Ke Liye Pegham Hai Baidari Ka

    Tu Samajhta Hai Ye Saman Hai Dil Aazari Ka
    Imtihan Hai Tere Isaar Ka, Khud-Dari Ka

    Kyun Harasan Hai Saheel-e-Faras-e-Aada Se
    Noor-e-Haq Bujh Na Sake Ga Nafs-e-Aada Se

    Chashme-e-Aqwam Se Makhfi Hai Haqiqat Teri
    Hai Abhi Mehfil-e-Hasti Ko Zaroorat Teri

    Zinda Rakhti Hai Zamane Ko Hararat Teri
    Koukab-e-Qismat-e-Imkan Hai Khilafat Teri

    Waqt-e-Fursat Hai Kahan, Kaam Abhi Baqi Hai
    Noor-e-Touheed Ka Itmam Abhi Baqi Hai

    Misl-e-Bu Qaid Hai Ghunche Mein, Preshan Ho Ja
    Rakht Bar Dosh Hawaye Chamanistan Ho Ja

    Hai Tunk Maya To Zarre Se Byaban Ho Ja
    Naghma-e-Mouj Se Hangama-e-Toofan Ho Ja!

    Quwwat-e-Ishq Se Har Past Ko Bala Kar De
    Dehr Mein Ism-e-Muhammad (S.A.W.) Se Ujala Kar De

    Ho Na Ye Phool To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho
    Chaman-e-Dehr Mein Kaliyon Ka Tabassum Bhi Na Ho

    Ye Na Saqi Ho To Phir Mai Bhi Na Ho, Khum Bhi Na Ho
    Bazm-e-Touheed Bhi Dunya Mein Na Ho, Tum Bhi Na Ho

    Khema Aflak Ka Istada Issi Naam Se Hai
    Nabz-e-Hasti Tapish Aamadah Issi Naam Se Hai

    Dasht Mein, Daman-e-Kuhsar Mein, Maidan Mein Hai
    Behr Mein, Mouj Ki Aghosh Mein, Toofan Mein Hai

    Cheen Ke Shehr, Maraqash Ke Byaban Mein Hai
    Aur Poshida Musalman Ke Iman Mein Hai

    Chashm-e-Aqwam Ye Nazara Abad Tak Dekhe
    Riffat-e-Shan-e-‘Rafaana La Ka Zikrak’ Dekhe

    Mardam-e-Chashm-e-Zameen Yani Woh Kali Dunya
    Woh Tumhare Shuhada Palne Wali Dunya

    Garmi-e-Mehr Ki Parwarda Hilali Dunya
    Ishq Wale Jise Kehte Hain Bilali Dunya

    Tapish Andoz Hai Iss Naam Se Paare Ki Tarah
    Ghouta Zan Noor Mein Hai Aankh Ke Tare Ki Tarah

    Aqal Hai Teri Sipar, Ishq Hai Shamsheer Teri
    Mere Darvaish! Khilafat Hai Jahangeer Teri

    Ma Siwa Allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri
    Tu Musalman Ho To Taqdeer Hai Tadbeer Teri

    Ki Muhammed (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere Hain
    Yeh Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain

  2. #2
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,910
    Threads
    482
    Credits
    148,896
    Thanked
    970

    Default

    Thanks for Sharing

Similar Threads

  1. Allama KI nazmain Shikwa or jawab e shikwa in pdf
    By malik zain in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 34
    Last Post: 19th January 2015, 01:56 PM
  2. Shikwa & Jawab-e-Shikwa
    By editorshahid in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 5
    Last Post: 21st July 2009, 07:50 AM
  3. Replies: 6
    Last Post: 26th May 2009, 09:23 AM
  4. Replies: 6
    Last Post: 13th November 2008, 12:52 AM

Tags for this Thread

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •