Salam to all dosto..
mera problem ye hai ki maine kuchh dino pehle apni RAM Upgrade karwai thi, jo pehle 256 MB thi ab usmain aur 1 gb RAM Plus ho gaye hai...
yaani 256 mb chip ke saath 1 GB RAM ka ek aur chip mother board mein laga diya hai...
magar
kuchh dinon aisa hota hai ki computer chalte chalte achanak restart ho jata hai, bilkul achanak...aisa kaee baar ho chuka hai...khas kar net surfing ke dauran zyada hota hai...
kahin ye RAM ka problem to nahin ? ya phir koi aur problem hai ?
Mein winxp use karta hoon, aur net ke liye mozila firefox use karta hoon..
please reply dijiyega ...


thanks
M.IMRAN