kia kisi ko gol gappay bananay ki tarkeeb pata hai ?
agar pata hai to dair kion likh dain yahan?
thanks
kia kisi ko gol gappay bananay ki tarkeeb pata hai ?
agar pata hai to dair kion likh dain yahan?
thanks
LoL~. @ GooL Gapy Bannayy ki TaRkEeB
arey yaaro mun main pani aagay ha.
nice
salam
simple and easy recipe of gol gapay
ingredients:
1 cup = white flour ( maida)
1/2 cup = sooji
2 cup = imli ka pani
1 table spoon = black salt ( kala namak)
1/2 teaspoon = zeera powder
thora sa namak
METHOD:
1 ) maida or sooji ko aik saath sakht goond lain or ise 1 hour k liye rakhain
2 ) 2 cup imli k paani salt + black salt + zeera powder mix ker lain
ager 3/4 poodinay ki patiyan (leaves) grind ker k shamil ker dain to taste
acha aye ga or ise fridge main rakh dain
3 ) maida or sooji ko goondne k 1 ghante baad aap ise bail lain jaise chapati
kay liye bailte hain bareek or gol shape main kaat lain
gol shape main kaatne k liye chote cup bhi use ker sakte hain
4) medium aanch per oil main aik aik ker k dalain or daalne saath hi in per
oil daalain to yeh phool jain ge
jab sab ban jain to inhain paani kay saath paish karain ( boil white
channe bhi saath rakh sakte hain )
umeed hai aap ko recipe pasand aye gi
zabardast yar
Ok zee4u to hum kab ajae gol gapy khane
Bookmarks