Ibn-e-Insha
Insha Ji Utho Ab Kooch Karo is shehar me ji ko lagana kia
Wehshi ko sakun se kia matlab jogi ka nagar me thikana kia
Is dil kay warida daman ko dekho to sahi socho to sahi
Jis jholi me so chhed huwe us jholi ka phelana kia
Shab beeti chand bi doob chala zanjeer pari darwaze pr
Kyun dair gaye ghar aye ho sajni se karo ge bahana kia
Phir hijar ki lambi rat mian sanjhok ki to sahi aik ghari
Jo dil me hai lab pe anay do sharmana kia ghabrana kia
Us roz jo in ko dekha hai ik khwab ka alam lagta hai
Us roz jo unse bat huwe wo bat bi thi afsana kia?
Us husan k sachay moti ko ham dekh saken par chhu na saken
Jise dekh saken par chhu na saken wo dolat kia wo khazana kia?
Jab shehar k log na rasta den Kyun ban me ja basraam kre
Diwano ki si na baat kre to aur kre diwana kiya?::