Bhaio aj main ap k liye wifi repeater (range extender) ki post laya hun jo k ap kisi b tplink linksys wgera jis me dd-wrt firmware install kar dia ho instemal kar k bna sakty hein.
Dd-wrt kya hai aur kesy install hota hai ye is post se help li ja sakti hai.
http://www.itdunya.com/showthread.php?t=559866

Is ki madad se ap apny wifi k signal ki range doosray floor ya doosray ghar tak barha sakty hein. Wo b baghai cable k. Jahan hamsayon ne net share kia hua hai aur doosray ghar me signal kam atay hein un k liye best hai.

Tariqa boht asan hai bus ap ne 2nd router jis ne dd-wrt ki setting nechay wali tasweer k mutabiq karni hai.

Setting karny k liye bad ap ka router1 192.168.1.1 pe jb k 2nd 192.168.1.2 pe hoga. Dono me wifi name password same hoga spelling ka dehan rakhein tbhi wo apas me connect hoga. Baki kuch he settings hein. Virtual access point matlab 2nd router k wifi ka name different rakhein. Masla ho to reset kar k dobara setting karein. Speed me kisi qisam ka koi farq nahi paray ga.

Kisi b kisam ki help k liye is link ko visit karein ya youtube pe tutorial dekhein.
https://www.dd-wrt.com/wiki/index.php/Repeater_Bridge

Help ya questions hon to zaroor post karein. Main 2 saal se istemal kar raha hun.