Os ka har gham sehna kitna achaa lagta hai,
Phir bhi dil ki baat na kehna kitna achaa lagta hai,
Shaam dahlay sahil par aksar tanhaai kay lamhon mein,
Os ki batein sochtay rehna kitna achaa lagta hai,
Hum dono mil bathein gay to raat gozar hi jaay gi,
Tanhai ka mujh say kehna kitna achaa lagta hai,
Manzil ka to naam hai warna mujh jaisay aawara insan ko,
Sehra Sehra ghoomtay rehna kitna achaa lagta hai,
Os ki aankh mein hon aansoo yeh mujh ko manzoor nahin,
Os ka har dam hastay rehna kitna achaa lagta hai
Bookmarks