Ab umr meri dasht_e_makaani ki tarha hai
maazi mera darya ki rawaani ki tarha hai
har saans main jhonka hai nasim_e_sehri ka
har lamha teri khwab jawaani ki tarha hai
dekhoon tau gul_e_taaza ki soorat nazar aae
sochoon tau wohi shakhs kahani ki tarha hai
rukta hai tau urte hue baadal main hai mehtaab
chalta hai tau darya ki rawaani ki tarha hai
bhaago tau saraab aae nazar tishna labi ko
lag jaae jo honton se tau paani ki tarha hai
main apna nishaan paaun tau kiss tarha se AAZAR
sab kuch tau yahan usski nishanai ki tarha hai
Bookmarks