Page 3 of 9 FirstFirst 123456 ... LastLast
Results 25 to 36 of 100

Thread: Many layrics of Naat(Shan's collection)

  1. #25
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Thanked
    0

    Default

    MERA DIL OR MERE JAAN

    Mera dil aur Meri jaan Madine waale
    Tujh pe sawjaan se qurbaan Madine Waale



    Sub ke matloob ka Mahboob he matloob he Too
    Allah Allah reh Teri shaan Madine waale


    Tera Dar chor ke jaa’o to kaha jaa’o mein
    Mere Aqaa mere Sultaan Madine waale



    Bar de bar de mere Aqaa meri jholi bar de
    Ab na rakh be saro samaan Madine waale


    Aare aati he Teri zaat har ekh dokhya ke
    Meri mushkil bhi ho asaan Madine waale



    Phir tamanna-e Ziyaarat me kiya dil be chain
    Phir Madine ka he armaan Madine waale


    Aur Kash mein urhta perhoon Khaaqh-e-Madina ben kar
    Aur machalta rahoon Sarkar Do Aalam ke leye

  2. #26
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Ghumbad Dekh kar


    Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh kar
    Qaif tari hai Qalam per Sabz Gumbad Dekh kar


    Hai muqad’darYa wari par Sabz Gumbad Dekh kar
    Phir na kyoun Jhumay Sanagar Sabz Ghumbad Dekh kar



    Masjid-e-Nabwi pe pohonche Marhaba Sale A’ala
    Ho gia Jari Zuban per Sabz Gumbad Dekh kar



    Aap se bas Aap hi ko mangta hai Ya Nabi
    Aap ka Adna sanagar Sabz Gumbad Dekh kar



    Aahaey ATTAR Tugh se itna be na ho saka
    Jan kar de ta Nichawar Sabz Ghumbad Dekh kar



    Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh kar
    Qaif tari hai Qalam par Sabz Gumbad Dekh kar

  3. #27
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    AGAYAA WO NOORWAALA JISKA SAARA NOOR HAI


    Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he
    Agia wo noore waala jiska saara Noor he


    Aankh waalo aao dekho maahe Taiba ki ziyaa
    Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he


    Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam
    Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he

    Jisne jo kuch Noor payaa sub Teri Sarkaar se
    Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he


    Jis taraf ko oth gayee aalam munawar hogaye
    Me Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he

    Mustafa ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar
    Mustafa ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he


    Istaraf bi ek nighahe Noorale Noorala
    Me sarapaa ma’siyat hoon Tu sarapaa Noor he


    Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he
    Agia wo noor waala jiska sara Noor he

  4. #28
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default


    JAB GHUMBAD-E-KHAZARAH PE WO PEHLE NAZAR GAE


    Jab Ghumbad-e-Hazara pe wo Pehle nazar gae
    Ankhoon ke raste meray dil mein ooter gae


    Sar kham, lab khamoush thay Aankhein thein ashkbar
    Ik Sa’at-e-bedar thi jo ke Guzar gai


    Mein Barish-e-Karam mein nahasa gia o’odher
    Wo Barish-e-Karam meray daman ko barh gai


    Dil bhi hai shad shad tabi’at hai pur bahar
    Lagta hai Aaj mere Madina Khabar gai

    Taiba se lotna kisi Aashiq se pochiye
    Aisa hai jaise rooh badan se guzar ga’ee


    Aawaz Ubaid Teri bafezan-e-Naat hi
    Sinoon mein Aashiqan-e-Nabi ke o’oter gai


    Jab Ghunbad-e-Khazarah pe wo Pehle nazar gae
    Ankhoon ke raste meray dil mein ooter gae

  5. #29
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    PUKARO YA RASULALLAH , YA HABIBALLAH

    PUKARO YA RASULALLAH , YA HABIBALLAH

    PUKARO YA RASOOL ALLAH , YA HABIB ALLAH


    NABI KA JHANDA LE KAR NIKLO DUNYA PAR CHA JAO
    NABI KA JHANDA AMAN KA JHANDA GHAR GHAR PAR LEHRAO

    PUKARO YA RASULALLAH , YA HABIBALLAH


    LAB PAR NAAT PAAK KA NAGMA KAL BHI THA AUR AAJ BHI HAI
    MERE NABI SE MERA RISHTA KAL BHI THA AUR AAJ BHI HAI
    NABI KA JHANDA OONCHA RAHEGA NAARA YE HI LAGAO
    NABI KA JHANDA AMAN KA JHANDA GHAR GHAR PAR LEHRAO

    PUKARO YA RASOOL ALLAH , YA HABIBALLAH

    QIRYA QIRYA BASTI BASTI ZIKR NABI KA AAM KRO
    NABI KI AZMAT KE GUN GAO WIRD YE SUBHO SHAAM KRO
    NABI KA JHANDA OONCHA RAHEGA NAARA YE HI LAGAO
    NABI KA JHANDA AMAN KA JHANDA GHAR GHAR PAR LEHRAO

    PUKARO YA RASOOL ALLAH , YA HABIBALLAH

    RANG BARANGE JHANDAY CHORO THAAM LO GUNBAD WALA
    HUM SAB PAR RAAZI HO JAYEGA PIYARA MADANI AAQA
    ISS JHANDAY KE SAYE TALAY TUM MIL KAR QADAM BARHAO
    NABI KA JHANDA AMAN KA JHANDA GHAR GHAR PAR LEHRAO

    PUKARO YA RASOOL ALLAH , YA HABIBALLAH

    YA RASOOL ALLAH KE NAARAY SE HUM KO PIYAAR HAI
    HUM NE YE NAARA LAGAYA APNA BERA PAAR HAI
    KHULD ME HOGA HAMARA DHAAKLA ISS SHAAN SE
    YA RASULALLAH KA NAARA LAGATAY JAYENGE

    PUKARO YA RASOOL ALLAH , YA HABIBALLAH

    SABZ HILALI PARCHAM YARO HUM KO JAAN SE PIYARA HAI
    ISS PAR GUNBAD-E-KHIZRA HOGA YE MANSHOOR HAMARA HAI
    ISS GUNBAD KE SAYE TALAY TUM SAB EK HO JAO
    NABI KA JHANDA AMAN KA JHANDA GHAR GHAR PAR LEHRAO


    PUKARO YA RASULALLAH , YA HABIBALLAH

  6. #30
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    DUE-E-MADINA

    Ya Rab-e-Muhammad meri taqdeer jiga day
    Sahrae Madina mujhe aankhoon se dikha day


    Peecha mera duniya ki mohabat se chora day
    Ya Rab mujhe diwana Madine ka bana day

    Rota howa jis dam mein Dar-e-Yaar pe pohonchoon
    Us waqt mujhe Jalwae Mehboob dikha day


    Dil ishq-e-Muhammad mein tarapta rahe her dam
    Seenay ko Madina meray Allah bana day

    Bahte rahe her waqt jo Sarkaar k gham mein
    Rote howi wo Aankh mujhe mairay Khuda day


    Imaan pe day mout Madine ki gali mein
    Madfan mera Mehboob kay Qadmoon mein bana day

    Ho bahre Raza Karam sowe Gunahgaar
    Jannat mein paroosi mujhe Aaqa ka bana de


    Daita hoon Tujhe wasita mein piyaare Nabi ka
    Omat ko Khudaya Sunnat pe chala de

    ATTAR say Mehboob ki Sunnat ki lay khidmat
    Danka ye Tairay Deen ka duniya mein baja day


    Allah! milay Hajj ki isi saal sa'adat
    ATTAR ko phir Roza-e-Mehboob dikha day

  7. #31
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    SABZ GUMBAD KAY SAE MEIN GHAR CHAHEYE

    Mujh ko duniya ki dolat na zar chaheye
    Shahe Kauser ki meethi Nazar chaheye


    Haath othte hi bar aae her mod aa
    Wo duaaon mein Moula Asar chaheye

    Aashikaane Nabi kay dil ki hai sadaa
    Sabz Gumbad kay Sae mein ghar chaheye


    Zouq barhata rahe Ask bahte rahein
    Muztarib qalb or chasham chaheye


    Raat din ishq mein Teray tarapta rahon
    Ya Nabi ! Aaisa sooze jigar chaheye


    Ya Khuda! jism se jaan jab hi juda
    Jalwa-e-Yaar peshe nazar chaheye

    Bas Madine mein do ghaz zameen dejeye
    Aur kuch na shahe Bahro Bar chaheye


    Ham ghareeboon ko Roze per bola loo
    Rahe Taiba ka zaade safar chaheye

    Apne ATTAR per ho Karam bar bar
    Izan Taiba ka bare digar chaheye

  8. #32
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    KUCH OR BAAT HOTI

    Mein jo youn Madine jata to kuch or baat hoti
    Kabhi lout kar na aata to kuch or baat hoti


    Mein Madine to giyaa tha bara sharaf tha laikin
    Wahein dam jo toot jata to kuch or baat hoti


    Gham rozgaar mein to mairay ashak bah rahe hein
    Tera gham agar rolata to kuch or baat hoti


    Na fazool kaash! hanstaa Tere Yaad mein tarapta
    Mujhe chain hi naa aata to kuch or baat hoti

    Yahi Aaah! fikere duniyaa mera dil jala rahe hai
    Ghame hijer ghr satata to kuch or baat hoti


    Yahan qaber mein yaqeenen Teri Deed mujh ko ho ge
    Jo Baq'qe mein qaber pata to kuch or baat hoti

    Bazbane zaireen tomein Salaam baijtaa hoon
    Kabhi khod Salaam Lata to kuch or baat hoti


    Aare zaere Madina! tu khoshi se hansh raha hai
    Dil ghamzada jo lata to kuch or baat hoti

    Meri aankh jhab bhe kholti, Teri Rehmatoon se Aaqa
    Tujhe samane hi pata to kuch or baat hoti


    Kyoun Madina chore aya Tujhe kya tha ATTAR ?
    Wohein ghar agar basata to kuch or baat hoti

  9. #33
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    MUJHE BULALO SHAHE MADINA

    Mujhe bolalo Shahe Madina ye Hijr ka gham sata raha hai
    Mein Dar pe aaon yahi to armaan dil mein tofaan macha raha hai

    Hai sahna doshwaar ye jodai meri ho Dar tak Shaha Rasai
    Nahi bharosa hai zindagi ka ye dil mera dooba jaa raha hai Nahi

    tamana-e- maalo dolat nahi mujhe khuwaish haqoomat
    Meri nazar meinhaseeno dil qash wo Sabz Gumbad sama raha hai

    Yahi to hasrat rahi hai dil mein mujhe ajal bhe wohi per aae
    Jahan pe Aaqa hai piyaara Roza yahi to Aarman sada raha hai

    Hai jholi khali Aay Shahe Aaali hai arz karta Tera sawali
    Zalil mangta muradein lainay ko haath ghande barha raha hai


    Ay benawao gadaoo pasare damen safeen banao
    Khazana Rehmat ka banta wo Mehboob Aaa raha hai

    Gadae darjaa balab hai Aaqa Niqaab Othao dikha do jalwa
    Hoon tishnae Deed per Aanayat jahan se piyaasa hi jaa raha hai

    Mein goore teeraa mein aa para hoon, firishte bhe aa choke hein sar per
    Chale gae naaz othane wale Tera hi ab asara hai

    Hai nafse nafse Chahar janib Nisaar jaon kaha ho Moula
    Chopa lo Damen mein piyaare aa kar ye shoore mehshar dara raha hai


    Khuda-e-Ghafaar bakhs de ab To laaj Mehboob rakh hi lay ab
    Hamar GhamKhuwaar Fikre omat mein Aansoon baha raha hai

    Saba jo paira ho Kowe Jaana to ghamzaada ka Salaam kahna
    Ye Aarz karna Ghareeb ATTAR kab Madine ko aa Rraha hai

  10. #34
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    QAFILA CHAL DIYAA MADINE KA

    Izn mil jae ger Madine ka
    Kaam ban jae ga kaminay ka

    Jaa kay Un ko dikhaoon ga mein to
    Zakham-e-dil aur dagh seene ka


    Qalbe Ashiq dharak otha aik dham
    Zikr jab chir gia Madine ka

    Maire ankhoon se ashk jaari howe
    Jab chala Qafila Madine ka


    Us ki qismat per rashq ata hai
    Jo musaafir howa Madine ka

    Tujh pe Rehmat ho zaeere Taiba
    Jaa, nigahbaan Khuda safeenay ka


    Sab ko Aaqa bulaein gae ik din
    Izn mil jae gaa Madine ka

    Ho Ghame Mustafa ata Ya Illahi
    Dard barhata rahe Madine ka


    Naz'aa mein, qabr mein, qiyamaat mein
    Tum hi rakhna bharam kaminay ka

    Dour ranjo alam hoon duniya kay
    Ham ko mil jae gham Madine ka

    Ail mudat se dil mein armaan hai
    Jaame Deedaar-e-Yaar peenay ka

    Aapne ATTAR per ho Nazer-e-Karam
    Sag bana lejeye Madine ka

  11. #35
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    QISMAAT MERE CHAMKAEYE

    Qismaat maire chamkaeye chamkaeye Aaqa
    Mujh ko Dar-e-Pak pe bulawaeye Aaqa


    Seene mein ho Kaaba to baase dil mein Madina
    Aankhoon mein mere Aap samajaye Aaqa


    Betaab hoon bechain hoon Deedaar ki khatir
    Tarpaein naa Ab khawab mein Aaajaeye Aaqa


    Her simt se aafaat-o-bilyaat ne ghayraa
    Majboor ki imdaad ko ab aaye Aaqa


    Sakraat ka alam hai Shaha ! dham hai laboon per
    Tashreef sirhanein mairay ab laaye Aaqa

    Wahshat hai andhaira hai mere qabr kay ander
    Aaa kar zara roshan lse Farmaye Aaqa


    Mujrin ko leye jate hein ab soe jahannum
    Lillah! Shifa'at maire Farmaye Aaqa


    ATTAR pe ho bahre Raza itni inaayat
    Wiraana-e-dil aa kay basa jaye Aaq

  12. #36
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    JIS WAQT TARAPTA HAI BIMAAR MADINE KA

    Aaya hai bulawa phir ik baar Madine ka
    Phir jaa kay mein daikhoon ga Darbaar Madine ka


    Gulsan say haseen tar kohsaar Madine ka
    Jannat say bhe barh kar hai gulzaar Madine ka

    Mein phool ko chomoon ga or dhool ko choomon ga
    Jis waqt karoon ka mein deedar Madine ka


    Aankhoon say laga loon ga or dil mein basa loon ga
    Seene mein otaaroon gaa mein Khaar Madine ka

    Laaqi hai sir baalein Rehmat ki ada Un ko
    Jis waqt tarapta hai bimaar Madine ka


    Rote hein deewane betaab hein mastanay
    Un sab ko dikha dejeye Darbaar-e-Madina

    Rota hai jo raatoon ko omat ki mohabaat mein
    Wo Shafeye Mehshar hai Sardaar Madine ka


    Ratoon ko rota hai or khaq per soota hai
    Gham Khuwaar hai, Saada hai Mukhtaar Madine ka

    Qabze mein do Aalam hein per Haath ka taqeya hai
    Sota hai chitai per Sardaar Madine ka


    Dhok dard jahaan bhar kay sab dour Shaha kay
    Mujhko to bana lejeye bimaar Madine ka

    Is dar kay bhaikaari ki jhooli mein Do Aalam hein
    Shahoon say bhe barh kar hai nadaar Madine ka


    Maqbool jahan bhar mein ho DAWATEISLAMI
    Doon wasita Ay Rabe Ghafaar Madine kaa

    Taqdeer chamak othe qismaat hi to khol jae
    Ban jae jo adna sag, ATTAR Madine ka

Page 3 of 9 FirstFirst 123456 ... LastLast

Similar Threads

  1. Gift of Ramadan - Naat Sharif Mp3 Collection
    By ayeshaali in forum English IT Zone
    Replies: 7
    Last Post: 28th June 2015, 08:48 PM
  2. Video Naat Collection
    By arifraza in forum Ramadan Kareem رمضان كريم
    Replies: 26
    Last Post: 4th January 2012, 06:48 PM
  3. *Songs Layrics Finder ***(Super software)*
    By sspian786 in forum Software Reviews
    Replies: 20
    Last Post: 15th November 2011, 07:00 PM
  4. *~Great Site of Naat Collection*~
    By *~Zaka~* in forum General Discussion
    Replies: 13
    Last Post: 12th September 2009, 02:06 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •