Page 4 of 9 FirstFirst 1234567 ... LastLast
Results 37 to 48 of 100

Thread: Many layrics of Naat(Shan's collection)

  1. #37
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Thanked
    0

    Default

    AZAANE TAIBA MUJHE SARKAARE MADINA DAY DO

    Azaan-e-Taiba mujhe Sarkaare Madina day do
    Lay chale jo mujh ko Taiba wo safeena day do

    Yaade Taiba mein tarapne ka qarina day do
    Chashame tar, sooze jhigar Shahe Madina day do


    Chaar Yaroon(Radi Allah Anhuma) ka Tumhein wasitaa daita hoon
    Aapna gham mujh ko Shahenshahe Madina day do

    Sadqa Shahzadeye Qonain(Radi Allah Anha) ka Piyaare Aaqa !
    Mujh ko day do mairay Sarkaar ! Madina day do


    Waqte Aakhir hai chale jaan Rasool-e-Akram
    Ik jhalak Ay Maire Sultan-e-Madina day do

    Qasarate Maal ki Afat se bichaa kar Aaqa
    Apne ATTAR ko Olfat ka hazeena day do

  2. #38
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    SOZE BILAL(Radi Allah Anhu) MERI JHOOLI MEIN DAAL DO

    Jaa ho Jalal dona hi maalo manal do
    Soze Bilal meri jhooli mein daal do


    Duniya kay sare gham mmairay dil se nikal do
    Gham Apna Ya Nabi Bahre Bilal do

    Hijro Firaak to mila do iztiraab bhi
    BeTaab Qalb Azpae sooze Bilal do


    Bahte rahe jo her ghari bas Yaad mein Shaha
    Wo chasham-e-Ashkbaar pae Zol Jalaal do

    Seena Madina ho mera dil bhe Madina ho
    "Fikre Madina" do mujhe "Madni khiyaal" do

    Her Aaan bas tassawure Taiba mein ghom rahoon
    Aaisa boland Shahe Madina! Khiyaal do

    Do dard Sunnatoon ka pae Shahe Karbala
    Omat kay dil se Lazat-e-fashion nikaal do


    Kholke azeem say mujhe hissa Aata karo!
    Be jaa hansi ki haslat bad ko nikaal do


    Zikaro Durood her ghari wirde zubaan aae
    Meri fazool goi ki Aadat nikaal do


    Dono jahan ki Aafatein sari moseebatein
    Sadke mein mairay Ghose kay Sarkar! taal do

    ATTAR ko bula kay Madine mein do Baq'qe
    Do Phool(RadiAllah Anhuma) k tofail hoon poray sowaal do

  3. #39
    Sultana's Avatar
    Sultana is offline Advance Member
    Last Online
    5th November 2022 @ 02:49 PM
    Join Date
    02 Feb 2009
    Location
    ☼☼&
    Gender
    Female
    Posts
    36,591
    Threads
    1438
    Credits
    1,255
    Thanked
    4214

    Default

    Jazak Allah.

  4. #40
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    MUADAT SE MERE DIL MEIN HAI

    Mudat se maire dil mein hai Armaane Madina
    Roze pe Bula lejeye Sultaane Madina


    Ay kaash pohonch kay Dar-e- Janane Madina
    Ho jaon mein soo jaan se qurbaan-e-Madina


    Aate hein muqadar kay sikander Tere Dar per
    Bay izn ho kaise koi mehmaan-e-Madina

    Aag aise laga dejeye qalb aur jhigar mein
    Rota rahoon tarpa karoon Ay Jaan-e-Madina


    Gulzaar yahan kay ise ache nahi lagte
    Aankhoo mein samae hein Biyabaan-e-Madina


    Ab sindh kay jungle mein mira jee hi nahi lagta
    Bus mujh ko bulalejeye Gulistaan-e-Madina


    Duniyaa kay nazaare hamein ik ankh na bhaein
    Nazroo mein basein kash! Biyaaban-e-Madina


    London koi japan chala maal kamane
    Diwaana chala sowe Biyabaan-e-Madina

    Jab khod hi qasam khai hai Quraan-e-Mubeen ne
    Kis tarah biyaan koi kare Shaan-e-Madina


    Duniyaa ka koi shaher ho kis tarah mumasil?
    Jab Khlode bareen bhe nahi ham Shaan-e-Madina


    kar dejeye Deedar say ankhein meri thandi
    Ay Jaan-e-Jahan Sayede Sultaan-e-Madina


    Ay kaash! mubaligh mein banoo Deen-e-Mubeen ka
    Sarkaar! Karam Azpae Hassan-e-Madina(Radi Allah Anho)


    Qadmoon mein bulalejeye ATTAR ko Aaqa
    Aur is ko banalejeye mehmaan-e-Madina


    ATTAR ko dolat na haqoomat ki talab hai
    Daydejeye Baq'qe is ko to Sultaan-e-Madina

  5. #41
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    SILSILA AAH! GUNAHOON KA BARHATA JAA RAHA HAI

    Silsila Ah! gunahoon ka barhata jaa raha hai
    Nit niya jurm her ik Aan howa jata hai


    Qalb pather say bhe sakhtee mein, barha jata hai
    Dil per ik khoul siyahi ka charhaa jata hai

    Nafs-o-shaitaan ki her aan ita'at per dil
    Aah! mail meray Allah! ho jata hai


    Laoon wo ashk kahan se jo siyahi dhoein
    Gandagi mein nera dil! had se barhata jaa raha hai

    Aarzi afat-e-duniya say tou ghabrata hai
    Ha'e! baykhouf azaaboon say howa jata hai


    Ye tera jism jo bimaar hai tashweesh na kar
    Ye marz teray gunahoon ko mitaa jata hai

    Asal barbaad kun amraaz gunahoon kay hein
    Bhai! kyoun is ko faramoosh kiya jata hai


    Asal afat to hai naraazi Rab-e-Akbar
    Is ko kyoun bhool kay barbaad howa jata hai

    Al Madad ya Shahe Abrar Madine wale!
    Qalb se khouf-e-Khuda dour howa jata hai


    Aah! dolat ki hifaazat mein to sab hein koshaan
    Hifze Imaan ka tasawur hi mita jata hai


    Yad rakho! wohi bay aqal hai ahmak hai jo
    Kasarate maal ki chahat mein mara jata hai


    Apni olfat ka jaam mujhe pilaa do Saaqi
    Qalb duniyaa ki mohaabat mein phansa jata hai


    Imtihaan kay kahan qabil hoon mere piyaare Allah
    Bay sabab bakhs day Moula! Tera kya jata hai

    Aah! jati nahi hai adate ya wah gooni
    Waqt-e-anmool youn barbaad howa jata hai


    Aah! ansoon gham-e-duniya mein bahe jate hein
    Dil bhe duniya kay ghamoon hi mein jala jata hai

    Apna gham aisa ATTAR kar keh kalaija phat jae
    Daikh kay sab kahein diwaana chala jata hai


    Walwala Sunnat-e-Mehboob ka day day Maalik
    Aah! fashion pay musalmaan mara jata hai

    Teray diwaane isi aas pay zinda hein Shaha
    Jaane kab izen Madine ka diya jata hai


    Aakhari waqt hai Aajaa mere Madni aa jaa
    Aah! mujrim Tera duniya say Shaha jata hai

    Jalwa-e-Pak dikhaa jaa mere Madni aa jaa
    Aah! mujrim Tra duniyaa se Shaha jata hai


    Mujh ko ab Kalima Parha jaa meray Madni aa jaa
    Aah! mujrim Tra duniyaa se Shaha jata hai

    Mujh ko Seene say laga jaa mere Madni aa jaa
    Aah! mujrim Tera duniyaa se Shaha jata hai


    Meray isiyaan ko mitaa jaa meray Madni Aaa jaa
    Aah! mujrim Tra duniyaa se Shaha jata hai

    Meray Aaqa! sar-e-mehshar mera pardaa rakhna
    Raaz aaiboon ka meray faash howa jata hai


    Aao ab bahre Shifa'at mere Shafee! Aao
    Aah! badqaar azaaboon mein giraa jata hai

    Muskaara kar meri Sarkaar mujhe kah doo naa!
    Aaa Tujhe Daaman-e-Rehmat mein liya jata hai


    Kaash! ATTAR say farmaein qiyamaat mein Huzoor
    Lay Mubarak! keh tujhe Bakhsh diyaa jata hai.

  6. #42
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    HAMARA MADINA

    Madina Madina hamara Madina
    Hamein Jano dil se hai oiyaara Madina


    Sohana sohana dil aara Madina
    Her ashiq ki ankhoon ka taara Madina

    Sabhi Asiqe Mustafa kah rahe hein
    Hamein to hai Jaanat se piyaara Madina


    Ye rangeen fazaein ye mahki hawaein
    Mo'atar mo'anber hai sara Madina

    Madine kay Jalwoon kay qurbaan jaon
    Hai Qudrat ne kaisa sanwara Madina


    Paharoon mein bhe husn kantein bhe dilqash
    Baharoon ne kaisa nikharaa Madina

    Wahan Piyaara Kaaba yahan Sabz Gumbad
    Wo Makkah bhe meetha to Piyaara Madina


    Bulalejeye ab to Qadmoon mein Aaqa
    Dikha dejeye ab to piyaara Madina

    Phiroon gird Kaaba piyoon Aabe Zam Zam
    Mein phir aa kay dekhoon Tumhara Madina


    Masaib howe dour saare jahaan kay
    Giyaa jab koi gham ka maara Madina

    Hai shaho gada muflis-o-aghniyaa ka
    Bila raib sab ka guzaara Madina


    Ye diwaane Aaqa ! Madine ko aaein
    Bolalo inhein ab Khudara Madina

    Khuda gar qiyamat mein Farmae Mangoo!
    Ligaein gay diwaane Naara "Madina"


    Madine mein Aaqa hamein mout aae
    Bane kaash! madfan hamara Madina

    Use sair-e-gulshan say kya ho ta'aluq!
    Kiya jis ne Tera Nazaara Madina


    ZIYA(Rehmatullah Aalaih) Peer-o-Murshid k Sadke mein Aaqa
    Ye ATTAR aae dobara Madina

  7. #43
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    AY KASH PHIR MADINAY MEIN ATTAR JA SAKE

    Ay kash! phir Madinay mein ATTAR ja sake
    Roo roo kay haal apna Mustafa ko sonaa sake

    Pechlay barsh to Taiba ko chooma tha jhoom kar
    ATTAR kash! Hajj ka sharf phir se paa sake

    Ya Rab-e-Mustafa ! koi aisa sabab bana
    Sae mein mout Gumbad-e-Hazaara kay aa sake

    Taiba bola wo dil ghamgheen day mujh ko
    Dil se na Tera gham koi meray mitaa sake


    Ghousul Wara(Radi Allah Anhu) ka wasita Ya Rab! wo ankh day
    Ishq-e-Nabi mein ji ansoon baha sake

    Wo aag mere seene mein Aaqa lagaye!
    Pather say sakht dil ko bhe jo jala sake


    Sarkaar ! Char Yaar(Radi Allah Anhuma) ka daita hoon wasita
    Aise bahaar doo na hizaan paas aa sake

    Tum bhe jo chore do gay to kahan jaon ga Shaha ?
    Hai kon mujh zaleel ko jo nibhaa sake


    Doshman agarche ghaat mein hai koi gham nahi
    Un ki madad rahe tou bigaar apna kya sake!

    Chasme Karam ho aise keh mit jae her khataa
    Koi gunah mujh se naa shaitaan kara sake


    Jis waqt Sunatoon ka mein karne lagoon biyaan
    Aisa Asar ho paidaa jo dil ki hilaa sake

    Hai saber tou Hazaanae Firdoos bhaiyo!
    Aashiq kay lab pe shiqwaa kabhi naa aa sake


    ATTAR ko wo sooz day Ya Rab ! Pae Raza(Rehmatullah Aalaih)
    Jo k Nabi kay ishq mein sab ko Rolaa sake

    ATTAR Teray Hame-o-nasir hein Mstafa
    Kis ki mijaal hai k tujh ko daba sake?

  8. #44
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    TOU JAE GA MADINA

    Nazdeek aa raha hai Ramzaan ka mahina
    Sahil say Haazeyoon ka phir aa laga safeena


    Aaqa na toot jae ye dil ka Abgeena
    Ab ki bars bhe Moula! rah jaon mein kahein naa!


    Dil roo raha hai jin ka Ansoon chilak rhe hein
    Un ashiqoon ka sadqa! Bolwaye Madina


    Hijro Firaaq mein dil betaab ho rahe hein
    Oshaaq roo rhe hein loo chal diya Safeena


    Betaab ho raha hai Taiba ki hazeri ko
    Ashiq tarap raha hai or phat raha hai seena


    Roze ko dekhnay ko Ankhein taras rahe hein
    Ay Waleey-e-Madina !Ab tou bolaye naa

    Nazere Karam Khodara meray seyaah dil per
    Dam bhar mein jae ga ban ye Bebaha nageena


    Rangeene jahaan se dil toot jae mera
    Ya Rab ! mujhe bana day ashiq-e-Madina


    Ansoon na tham rahe hoon dil khoon oogal raha hai
    Jis waqt Teray Dar pay aaon Shah-e-Madina


    Bas Arzoo yahi hai Qadmoon mein jaan niklay
    Piyaare Nabi hamara madfan bane Madina


    Ay bekasoon kay hamdam ! Duniya kay dour hoon gham
    Bas jae dil mein Kaabah seena bane Madina



    Tableegh Sunnatoon ki karta rahoon hamesha
    Marna bhe Sunatoon mein hoo Sunnatoon mein jeena


    ATTAR ki Huzoori ki Aarzo ho poori
    Ho jae dour doori Ay Waaliy-e-Madina


    Un kay Diyaar mein to kaise chale phiree ga?
    ATTAR teri joraat ! Tou jae ga Madina.

  9. #45
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    ARSH-E-A'ALA SAY A'ALA NABI KA ROZA


    Arshe Aala say A'ala meethe Nabi ka Roza
    Hai her maqaan say baala Meethe Nabi Roza

    Kaisa hai piyaara piyaara ye Sabz Gumbad
    Kitna hai Meetha Meetha Meethay Nabi ka Roza

    Firdoos ki bolandi bhe choo sake na Is ko
    Kholde-e-Bareen say ooncha Meethe Nabi ka Roza

    Makkhe say is leye bhe afzal howa Madina
    Hissay mein is kay aaya Meethe Nabi ka Roza


    Ka'abe ki Azmatoon ka munkir nahi hoon laiken
    Ka'abe ka bhe hai Kabah Meethe Nabi ka Roza


    Aansoon Chalak pare or betaab ho gia dil
    Jis waqt mein ne dikha Meethe Nabi ka Roza


    Ho gi Shifa'at us ki jis ne Madinay aa kar
    Khowaa ik nazar bhe dekha Meethe Nabi ka Roza



    Badal ghairay howe hwin Barish baras rhe hai
    Lagta hai kaisa sohaana Meethe Nabi ka Roza


    Hijer-o-Firaaq mein jo Ya Rab! yarap rahe hein
    Un ko dikha day Moula! Meethe Nabi ka Roza


    Haser da hazaar aalam ka husen is pe qurbaan
    Dono jahan ka dolha Meethe Nabi ka Roza


    Us aankh per na kyoun mein ATTAR jaoon qurbaan
    Jis aankh ne hai daikha Meethe Nabi ka Roza


    Jis waqt rooh tan say ATTAR ki juda hoo
    Ho samne Khudaya Meethe Nabi ka Roza

  10. #46
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default


    KYOUN KAR NA MERE DIL ME HO OLFAT RASOOL KI



    Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
    Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki


    Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara
    Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki

    Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein
    Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki


    Tarpa kay Un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok
    Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki

    Sarkar nay bula kay Madina dikha dia
    Ho ghi mujhay naseeb Safa"at Rasool ki


    Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib
    Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki

    Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro(wahabiyoo)
    Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki


    To hai Ghulam Un ka Ubad-e-Raza teray
    Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki

    Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
    Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

  11. #47
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya


    Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya
    Hamein bheek mangne ko Tera aastaan banaya
    Tujhe hamd hai Khudaya
    Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

    Tumhein Haqim banaya Tumhein Qasim Aataya
    Tumhein Shafe Aataya Tumhein Da'afe balaya
    Koi Tum sa kon aaya?
    Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

    Wo kanwaari Pak Maryam wo Naf'ate fiya ka dam
    Hai azab Nishaan-e-Aazam magar Aamina ka Jaya
    Wohi sab se afzal aaya
    Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

    Yahi bole sidraa wale chaman-e-Jahaan kay thaale
    Sabhi mein ne chan daale Teray pae ka naa paya
    Tujhe yaq ne Yaq banaya
    Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya


    "Fa Izaa Faraghta Fansab"(Quraanic Ayat) ye mila hai Tujh ko mansab
    Jo gada bana choke ab otho waqte bakhshis Aaya
    Karo qismat aataya
    Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

    "Wa Ilaa Rabika Farghab",karo arz sab kay matlab
    keh Tuhein ko Takte hein sab karo un per Apna saya
    Bano Shafeye Khataya
    Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

    Aare Ay Khuda kay bando koi meray dil ko dhondoo
    Meray paas tha abhi to abhi to abhi kya howa Khudaya
    Na koi gia na Aaya

    Hamein Ay Raza Teray dil ka pata chala ba mushkil
    Dar-e-Rozae muqabil wo hamein nazar tou aaya
    Ye na pocha kaisa paya
    Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

  12. #48
    Join Date
    21 Sep 2008
    Posts
    991
    Threads
    122
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    TOU SHAME RISALAAT HAI AALAM TERA PARWANA


    Tou Shame Risalat hai aalam Tera parwana
    Tou mahe Nowowat hai Ay Jalwae Janana


    Jo Saqeye Kousar k Chehre se Niqaab othe
    Her dil bane may khana her ankh ho paymana


    Sarshaar mujhe kar day ik dam jaame labab se
    Ta Hashrrhe Saaqe aabad may khana

    Her phool mein boo Teri Her shama mein zoo Teri
    Bulbul hai Tera Bulbul parwaana hai parwaana


    Peete hein Teray Dar ka Khate hein Teray Dar ka
    Paani hai Tera Paani dana hai Tera dana


    Sange Dar-e-Janaa per karta hon jabein saai
    Sajda na samaj najdi sar daita hoon nazraana


    Aabaad isay farmaa wiraan hai dil Noori(poet)
    Jalwe Teray bas jaein Aabad ho parwaana

Page 4 of 9 FirstFirst 1234567 ... LastLast

Similar Threads

  1. Gift of Ramadan - Naat Sharif Mp3 Collection
    By ayeshaali in forum English IT Zone
    Replies: 7
    Last Post: 28th June 2015, 08:48 PM
  2. Video Naat Collection
    By arifraza in forum Ramadan Kareem رمضان كريم
    Replies: 26
    Last Post: 4th January 2012, 06:48 PM
  3. *Songs Layrics Finder ***(Super software)*
    By sspian786 in forum Software Reviews
    Replies: 20
    Last Post: 15th November 2011, 07:00 PM
  4. *~Great Site of Naat Collection*~
    By *~Zaka~* in forum General Discussion
    Replies: 13
    Last Post: 12th September 2009, 02:06 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •