Woh Shaks Mujhe Jeet K Haara Hai

woh shaks mujhe jeet k haara hai aur bass...
itna he zindagi ka khasara hai aur bass...
kaisay kahun k uska irada badal gaya....
sach to yeh hai usnay pukara hai aur buss....
dunya ko is main dard ki shiddat kahan milay??



Ankho say tootta hua tara hai aur buss...
lafzoun main dard hijer ko mahsoos kar k dekh.....
Kehnay ko mainnay waqt guzara hai aur buss....
ubh inn main koi khuwaab sajanay nahin mujhe....
Ankho ko intezaar tumhara hai aur buss..
Mainnay kaha khuwab main dekhi hain meney barishein... ..
Usnay kaha aik ishaara hai aur buss........