Page 3 of 3 FirstFirst 123
Results 25 to 33 of 33

Thread: ~*~*Khurram's Collection*~*~

  1. #25
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Ab Ager Aaoo To Janey ke Liye Mat Aana
    Sirf Ahsaan Jataney kay Liye Mat aana

    Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
    Dil Par Umeed Ki Soo Rasmen Jala Rakhi Hain

    Ye Haseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana
    Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hain

    Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hain
    Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

    Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
    Tum Sirf Rasmen Nibhaney ke Liye Mat Aana

  2. #26
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Tumhara pyaar meray char soo abhi tq hy
    Koi hisaar meray char soo abhi tq hy

    Bicharty waqt jo tm saunp k gaye thy mujhy
    Wo intizar meray char soo abhi tq hy

    May ab bhi girty huye paniyon ki qaid may hon
    Ik aabshar meray char soo abhi tq hy

    Koi gumaan mujhy tm sy door kaisy karay
    K aitbaar meray char soo abhi tq hy

  3. #27
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay
    Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay


    Khud hee to kee thi hum nay apnay Rab say baghawat
    Phir hum jo dua mangtay to kis say mangtay


    Jo thay tabeeb dil k wo bhi dushman-e-jaan thay
    Is dil kee dwa mangtay to kis say mangtay


    Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum say
    kowi shokh ada mangtay to kis say mangtay


    Jo waqt guzar jayee to wapis nahi ata
    Wo waqt gya mangtay to kis say mangtay


    Hum us kee justajoo main hua khud say bay ganay
    Hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay.

  4. #28
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Kis tarah rokta hoo'n ashkoon ko
    Kis tara dil pay jabar karta hoo'n
    Aj b karzar-e-hasti mei'm
    Jub teray shehar say guzarta hoo'n

    Haal-e-dil b na keh saka, garcha
    Tu rahi mudatoo'n kareeb meray
    Kuch teri azmatoo'n ka darr b tha
    Kuch khayalat they ajeeb meray
    Akhar-e-kar woo ghari ayee
    Bar-war hoo gay rakeeb meray
    Tu mujhey choor kar chali b gayi
    Khair.... kismat meri, naseeb meray
    Ab mei'n kiyoon tuj say payar karta hoo'n
    Jub teray shehar say guzarta hoo'n

    Goo zamana teri mohabat ka
    Aik bhooli hooee kahani hey
    Teray koochay mein omer bhar na gay
    Sari duniya ki khak chani hey
    Lazat-e-kurab hoo k zakham-e-firak
    Jo b hey, teri meharbani hey
    Kis tamana say tuj koo chaha tha
    Kis mohabat say haar mani hey
    Apni kismat pay naaz karta hoo'm
    Jub teray shehar say guzarta hoo'n

    Ashak palkoo'n pay aa nahin saktay
    Dik mei'n hey teri abroo ab bhee
    Tuj say roshan hey kayanat meri
    Teray jalway hei'n char-soo ab bhee
    Apney gham khan-e-takheeol mei'n
    Tuj say hoti hey guftagoo ab bhee
    Mei'n tu mushakal say aah bharta hoo'n
    Jub teray shehar say guzarta hoo'n

  5. #29
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    koi apna nahin banta!!!
    labon pay naam rakhnay say
    dilon main yaad karnay say
    har ik dharkan, har ik tarpan
    kisi ke naam karnay say
    koi apna nahin banta
    tamam umar ki khushiyan
    mohabbat ki sabhi ghariyan
    kisi ko daan karnay say
    ke ...us pay maan karnay say
    koi apna nahin banta
    woh pehlay piyar ki batain
    rafaqat ki sabhi ratain
    woh chahat ki sabhi rasmain
    mohabbat ki sabhi qasmain
    humaisha yaad rakhnay say
    koi apna nahin banta
    kisi tanha akaili raah guzar par
    puranay say kisi boorhay shajar par
    patthar say koi dil bananay say
    aur
    usmain apna or kisi ka naam sajanay say
    koi apna nahin banta
    ke jab......aankhain hi marr ja'ain
    to phir sapna nahin banta
    yeh jeewan daaan kar ja'ain
    to bhi apna nahin banta
    koi apna nahin banta...
    koi apna nahin banta...

  6. #30
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Kisi ki to aarzoo ho
    Kisi ka to intezaar ho
    Kisi se kisi se to pyaar ho
    Kisi pe to yeh jaan bhi nisaar ho
    Jaisa bhi sahi kaisa bhi sahi koi yaar ho

    Kisi se nazrein hum bhi milaye
    Kisi ke sang khwaab hum bhi sajayein
    Bina baat hum bhi kahin kho jayein
    Kyun na hum bhi Khatto pe siahee bahayein
    Koi to ho jise hum apna bulayein

    Koi humein bhi chaahe
    Kis ko hum bhi chaahein
    Koi humse hi sab bateyein
    Kisi ko hum bhi sab batyein
    Koi humein dekh muskuraye
    Ksi ko dekh hum bhi khush ho jayein

    Kahin se dhoond layo
    Koi bhi dhoond layo
    Kaisa bhi dhoond layo
    Koi mere liye mera apna dhoond layo
    Ab tanha akele jeena hua dushwaar
    Humein bhi ho jaye ik baar yeh pyaar

  7. #31
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default

    Bohat Mumkin Tha
    Merey Paaon , Meri Zeest K
    Kaantey Nikal Jaatey
    Bohat Mumkin Tha
    Meri Raah K Pathar Pighal Jaatey
    Jo Deewaarein Merey Raste Mein Haayel Thein
    Merey Aagey Se Hatt Jaatein
    Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey
    Kohsaaron Ki Taraf Aik Pal
    Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo Se Katt Jatein
    Bohat Munkin Tha Angaaron Bhari Iss Zindegaani Mein
    Tumhaarey Paaon K Ujley Kanwal Khiltey
    Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein
    Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey
    Bus Ik Khaab-e-Musalsal ki Faza Rehti
    Hamari Rooh Kab Ham Se Khafa Rehti ?
    Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha
    Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey !

  8. #32
    mkhurram2k7 is offline Senior Member+
    Last Online
    23rd July 2011 @ 06:07 PM
    Join Date
    02 Nov 2008
    Posts
    48
    Threads
    9
    Credits
    990
    Thanked
    0

    Default


    Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
    yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo

    Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
    Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo

    Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
    Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo

    Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
    Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!

  9. #33
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,912
    Threads
    482
    Credits
    148,899
    Thanked
    970

    Default

    بہت اچھے

Page 3 of 3 FirstFirst 123

Similar Threads

  1. I am Khurram
    By Soldier2 in forum Introduction
    Replies: 16
    Last Post: 3rd August 2020, 05:27 PM
  2. اسے کہنا (Khurram Shahzad Khurram ki Nazam)
    By phototech81 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 23
    Last Post: 29th November 2010, 12:06 AM
  3. Khurram
    By khurramsky in forum Introduction
    Replies: 16
    Last Post: 13th July 2010, 08:26 AM
  4. *~*Khurram's Collection*~*
    By mkhurram2k7 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 13
    Last Post: 16th January 2010, 02:18 AM
  5. 2000 + Khurram Shehzad Khurram
    By TheMask in forum Greetings
    Replies: 33
    Last Post: 21st February 2007, 02:33 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •