Results 1 to 9 of 9

Thread: Ghazlen Parhen

  1. #1
    Join Date
    05 Mar 2009
    Location
    Narowal
    Age
    35
    Posts
    324
    Threads
    28
    Thanked
    0

    Default Ghazlen Parhen

    Ghazal Peesh Khidmat Hai

    saadgi to hamari zara dekhiye
    etbaar aap ke waade par kar liya
    baat ek raat ki thi magar
    intazaar aap ka umr bhar kar liya

    ishq main uljhane pahle hi kam na thi
    or paida naya dard-e-sar kar liya

    log darte hain kaatil ki parchai se
    hum ne kaati ke dil main bhi ghar kar liya

    zikr ek bewafa or sitamgar ka tha
    aap ka aise baaton se kya waasta

    aap to bewafa or sitamgar nahi
    aap ne kis liye muh udar kar liya

    zindagi bhar ke shikwe gile the bahut
    waqt itna kahan tha ke duharate hum

    ek hichiki main keh daali sab daastan
    hum ne kisse ko yon dukht-e-sar kar liya

    bekarari milegi na mujhko sukoon
    chain chin jayega neend ud jayegi

    apna anzaam sab hum ko maloom tha
    aap se dil ka sauda magar kar liya.

  2. #2
    Join Date
    05 Mar 2009
    Location
    Narowal
    Age
    35
    Posts
    324
    Threads
    28
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default Ye Bhi Parho

    Maine soch'On main trashaY hain khadokhaal teraY

    Jaltay hot'on pe tabassum jo machalta hai kabhi
    Zakham dhuljatay hain sawan jo barasta hai kabhi

    Maine soch'on main tarashay hain khadokhaal teray
    Mere baray main bata tu ne bhi socha hai kabhi?

    Charhtay sooraj say kabhi tu ne milai hay nazar?
    Tu ne kirn'on ki taraf ghor say dekha hai kabhi?

    Log pather main khilatay hain umeed'on k gulaab
    ye bhi mumkin ay? bata aisa bhi hota hai kabhi?

    Tu ne samjha tha main lot k ajaonga
    Ankh say bichra hua Ashk bhi lauta hai KabHi?

  3. #3
    Join Date
    05 Mar 2009
    Location
    Narowal
    Age
    35
    Posts
    324
    Threads
    28
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default Aur b parho

    Mohabbat is trahan chora nahi kartay


    Taaluq is tarhan tora nahi kartay
    k phir say jorna dushwar hojaye


    hayat ik zehar main dubi hoi talwar ki manind
    mohabbat is tarahan chora nahi kartay

    rawadari ka hargiz rasta chora nahi kartay
    mohabbat main sabhi aik dosray ko azmatay hain

    magar aesa nahi kartay
    k har umeed har imkan tot jaye

    kahan tak kehenchi ho dor yeh andaza rakhtay hain
    hamesha char dewari main ik darwaza rakhtay hain

    judai mustaqil ho to zindagi zandan ho jaye
    to suno!

    jeenay say munh mora nhi kartay
    mohabbat is tarhan chora nahi kartay





    http://urooj.sitesled.com/

  4. #4
    Join Date
    05 Mar 2009
    Location
    Narowal
    Age
    35
    Posts
    324
    Threads
    28
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Tum Se Kya Kahein Jaana

    Zindgi K Maile Mein
    Khahishon K Railay Mein

    Tum Se kya Kahein Jaana!
    Is Qadar Jhamaile Mein

    Waqt ki Rwani Hai
    Bakht Ki Geraani Hai

    SakhtBay Yaqeeni Hai
    Sakht La Mkani Hai

    Hijr K Smandar Mein
    Takht Aur Takhte Ki

    Apni Aik Kahani Hai

    Dard K Smandar Mein
    Un ginat jazeeray Hain

    Bay shumaar Moti Hain
    Baat Us diye Ki Hai

    Baat Us gilay Ki Hai
    Jo Lahu Ki Khalwat Mein

    Chor Ban K Aata Hai
    Lafz ki Faseelon Pe
    Toot toot Jata Hai

    Baat Go Zra Si Hai
    Baat Umr Bhar Ki Hai

    Raaste Mein Kaise Ho
    Baat Takhliye Ki Hai

    Zindgi Se Lambi Hai
    Baat Rat-jagay Ki Hai

    Rat-jagay Ki Baaton Mein
    Guftagu Izafi Hai

    Pyar Kerne walon Ko
    Ik Nigah He Kaafi Hai

    Ho Sake to sunn Jaao
    Aik Din Akaile Mein

    Tum Se Kya Kahein Jaana!
    Is Qadar Jhamaile Mein



    Musaddique Ayaz Mahmood

    Email:

    rehtidunya*************

    Download Softwares For Free

    http://urooj.sitesled.com/

    Download Data Recovery Softwares

    http://mydata.us.tt/

  5. #5
    Join Date
    05 Mar 2009
    Location
    Narowal
    Age
    35
    Posts
    324
    Threads
    28
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak

    Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak
    Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar
    Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak

    Yahan har taraf hai ajeeb samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
    Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak

    Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar
    Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak



    Musaddique Ayaz Mahmood

    Email:

    rehtidunya*************

    Download Softwares For Free

    http://urooj.sitesled.com/

    Download Data Recovery Softwares

    http://mydata.us.tt/

  6. #6
    Join Date
    05 Mar 2009
    Location
    Narowal
    Age
    35
    Posts
    324
    Threads
    28
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Poet: Parveen Shakir

    dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii
    silavaTe.n roshanii me.n ubharengii

    ghar kii diivaare.n mere jaane par
    apanii tanhaa_iyo.n ko sochengii

    u.Ngaliyo.n ko taraash duu.N phir bhii
    aadatan us kaa naam likkhengii

    rang-o-buu se kahii.n panaah nahii.n
    Khvaahishe.n bhii kahaa.N amaa.N dengii

    ek Khushbuu se bach bhii jaa_uu.N agar
    duusarii nikahate.n jaka.D lengii

    khi.Dakiyo.n par dabiiz parde ho.n
    baarishe.n phir bhii dastake.n dengii





  7. #7
    Join Date
    05 Mar 2009
    Location
    Narowal
    Age
    35
    Posts
    324
    Threads
    28
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Poet: Munir Niazi

    Gam kaa vo zor ab mere andar nahii.n rahaa
    is umr me.n mai.n itanaa samar_var nahii.n rahaa

    is ghar me.n jo kashish thii ga_ii un dino.n ke saath
    is ghar kaa saayaa ab mere sar par nahii.n rahaa

    mujh me.n hii kuchh kamii thii ki behatar mai.n un se thaa
    mai.n shahar me.n kisii ke baraabar nahii.n rahaa

    rahabar ko un ko haal kii ho kis tarah Khabar
    logo.n ke daramiyaa.N vo aakar nahii.n rahaa

    vaapas na jaa vahaa.N ki tere shahar me.n 'Munir'
    jo jis jagah pe thaa vo vahaa.N nahii.n rahaa



    Musaddique Ayaz Mahmood

    Email:

    rehtidunya*************

    Download Softwares For Free

    http://urooj.sitesled.com/

    Download Data Recovery Softwares

    http://mydata.us.tt/

  8. #8
    Join Date
    05 Mar 2009
    Location
    Narowal
    Age
    35
    Posts
    324
    Threads
    28
    Credits
    0
    Thanked
    0

    Default

    Poet: Nasir Kazmi


    kuchh to ehasaas-e-ziyaa.N thaa pahale
    dil kaa ye haal kahaa.N thaa pahale

    ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safar
    har qadam sang-e-nishaa.N thaa pahale

    safar-e-shauq ke far_sang na puuchh
    vaqt beqaid-e-makaa.N thaa pahale

    ye alag baat ki Gam raas hai ab
    is me.n andeshaa-e-jaa.N thaa pahale

    yuu.N na ghabaraaye huye phirate the
    dil ajab kunj-e-amaa.N thaa pahale

    ab bhii tuu paas nahii.n hai lekin
    is qadar duur kahaa.N thaa pahale

    Dere Daale hai.n bagolo.n ne jahaa.N
    us taraf chashm-e-ravaa.N thaa pahale

    ab vo dariyaa na bastii na vo log
    kyaa Khabar kaun kahaa.N thaa pahale

    har Kharaabaa ye sadaa detaa hai
    mai.n bhii aabaad makaa.N thaa pahale

    kyaa se kyaa ho ga_ii duniyaa pyaare
    tuu vahii.n par hai jahaa.N thaa pahale

    ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan
    kaisaa sun_saan samaa.N thaa pahale

    ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaa.N
    dard majabuur-e-fuGaa.N thaa pahale

    ham ne roshan kiyaa maamuur-e-Gam
    varnaa har simt dhuaa.N thaa pahale

    Gam ne phir dil ko jagaayaa 'Nasir'
    Khaanaa_barbaad kahaa.N thaa pahale





    Musaddique Ayaz Mahmood

    Email:

    rehtidunya*************

    Download Softwares For Free

    http://urooj.sitesled.com/

    Download Data Recovery Softwares

    http://mydata.us.tt/

  9. #9
    Baazigar's Avatar
    Baazigar is offline V.I.P
    Last Online
    24th April 2024 @ 04:11 AM
    Join Date
    16 Aug 2009
    Location
    Makkah , Saudia
    Gender
    Male
    Posts
    29,912
    Threads
    482
    Credits
    148,899
    Thanked
    970

    Default

    واہ بہت خوب

Similar Threads

  1. Ghazlen ~ Dr. Faryad Azar
    By editorshahid in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 12
    Last Post: 27th November 2010, 10:57 PM
  2. Ghazlen ~ by Abdullah Javed
    By editorshahid in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 23
    Last Post: 27th November 2010, 07:22 PM
  3. GhAzLeN ~ Ahmad Salman
    By editorshahid in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 9
    Last Post: 20th March 2010, 01:57 AM
  4. GhAzLeN ~ Shahida Hasan
    By editorshahid in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 5
    Last Post: 14th March 2010, 06:46 PM
  5. Ghazlen ~ by Abid Jafri
    By editorshahid in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 9
    Last Post: 14th March 2010, 06:39 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •