Piaray Dosto!

kia koi aisa dowload manager hay ja aisi site say bhi mukamal download kar saky jo resume option ko support nhin kartin . maslan youtube ki videos ko agar aap download manager ki maddad say download kartay hain to agar wi aik session main download na ho paain to dobar net connect honay par woh adhoori reh jati hain awer download manager in ko resume kar kay dobara start nahin kar paata.
kia aisa koi softwear hay jo ais maslay ko hal kar sakay?

aapkay taawun ka muntazir: AWAIS AHMAD QURESHI.