Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 13

Thread: Urdu-Poetry-Daily-Updat

  1. #1
    iftikharhassan's Avatar
    iftikharhassan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th October 2009 @ 09:23 PM
    Join Date
    11 Feb 2009
    Age
    35
    Posts
    290
    Threads
    54
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default Urdu-Poetry-Daily-Updat

    vo bhii kyaa log the aasaan thii raahe.n jin kii
    band aa.Nkhe.n kiye ik simt chale jaate the
    aql-o-dil Khvaab-o-haqiiqat kii na uljhan na Khalish
    muKhtalif jalve nigaaho.n ko na bahalaate the

    [Khalish=pain/prick; muKhtalif=different types]

    ishq saadaa bhii thaa beKhud bhii junuu.N_peshaa bhii
    husn ko apanii adaao.n pe hijaab aataa thaa
    phuul khilate the to phuulo.n me.n nashaa hotaa thaa
    raat Dhalatii thii to shiisho.n pe shabaab aataa thaa

    [hijaab=coyness]

    chaa.Ndanii kaif_asar ruuh_afzaa hotii thii
    abr aataa thaa to bad_mast bhii ho jaate the
    din me.n shorish bhii huaa karatii thii hangaame bhii
    raat kii god me.n muu.Nh Dhaa.Np ke so jaate the

    [kaif_asar=inducing intoxication; ruuh_afzaa=soul refreshing]
    [abr=cloud; bad_mast=intoxicated; shorish=tumult]

    narm rau vaqt ke dhaare pe safiine the ravaa.N
    saahil-o-bahr ke aa_iin na badalate the kabhii
    naaKhudaao.n pe bharosaa thaa muqaddar pe yaqii.n
    chaadar-e-aab se tuufaan na ubalate the kabhii

    [narm rau=gently moving; safiinaa=boat]
    [saahil=shore; bahr=sea; aa_iin=law/natural way]
    [naaKhudaa=oarsman; muqaddar=fate; aab=water]

    ham ke tuufaano.n ke paale bhii sataaye bhii hai.n
    barq-o-baaraa.N me.n vo hii shame.n jalaaye.n kaise
    ye jo aatish_kadaa duniyaa me.n bha.Dak uTThaa hai
    aa.Nsuo.n se use har baar bujhaaye.n kaise

    [barq=lightning; baaraa.N=storm; aatish_kadaa=conflagration]

    kar diyaa barq-o-buKhaaraat ne mahashar barpaa
    apane daftar me.n litaafat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
    ghir gaye vaqt kii beraham kashaakash me.n magar
    paas tahaziib kii daulat ke sivaa kuchh bhii nahii.n

    [bukhaaraat=fevers/great heat; mahashar=day of judgement]
    [lataafat=elegance/pleasantness; beraham=merciless]
    [kashaakash=struggle; tahaziib=civilization/politeness]

    ye andheraa ye talaatum ye havaao.n kaa Kharosh
    is me.n taaro.n kii subuk narm ziyaa kyaa karatii
    talKhii-e-ziist se ka.Davaa huaa aashiq kaa mizaaj
    nigaah-e-yaar kii maasuum adaa kyaa karatii

    [talaatum=upheaval; Kharosh=loud noice/cry]
    [subuk=delicate (here it means dim); ziyaa=brilliance/shine]
    [talKhii-e-ziist=bitterness of reality/life; ka.Davaa=sour taste]

    safar aasaan thaa to manzil bhii ba.Dii raushan thii
    aaj kis darjaa pur_asaraar hai.n raahe.n apanii
    kitanii parachhaa_iyaa.N aatii hai.n tajallii ban kar
    kitane jalvo.n se ulajhatii hai.n nigaahe.n apanii

    [darjaa=grade/level; pur_asaraar=full of secrets/intricate/complex]
    [tajallii=bright light]
    Attached Images Attached Images  

  2. #2
    iftikharhassan's Avatar
    iftikharhassan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th October 2009 @ 09:23 PM
    Join Date
    11 Feb 2009
    Age
    35
    Posts
    290
    Threads
    54
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa

    yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa
    raat bhar taali'-e-bedaar ne sone na diyaa

    [taali'-e-bedaar = good fortune]

    ek shab bul_bul-e-betaab ke jaage na nasiib
    pahaluu-e-gul me.n kabhii Khaar ne sone na diyaa

    raat bhar kii dil-e-betaab ne baate.n mujh se
    mujh ko is ishq ke biimaar ne sone na diyaa


  3. #3
    iftikharhassan's Avatar
    iftikharhassan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th October 2009 @ 09:23 PM
    Join Date
    11 Feb 2009
    Age
    35
    Posts
    290
    Threads
    54
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate

    ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate
    ham aur bul_bul-e-betaab guftaguu karate

    [ruu-ba-ruu = in front of; guftaguu = conversation]

    payaam bar na mayassar huaa to Khuub huaa
    zabaan-e-Gair se kyaa shar kii aarazuu karate

    [mayassar = available; shar = mischief]

    merii tarah se maah-o-mahar bhii hai.n aavaaraa
    kisii habiib ko ye bhii hai.n justajuu karate

    [maah-o-mahar = moon and sun; habiib = friend]

    jo dekhate terii za.njiir-e-zulf kaa aalam
    asiir hone ke aazaad aarazuu karate

    [asiir = prisoner]

    na puuchh aalam-e-baragashtaa taali-e-"Aatish"
    barasatii aag me.n jo baaraa.N kii aarazuu karate

    [baragashtaa = turn around/against; baaraa.N = rain]
    [taali-e-aatish = burning fate]

  4. #4
    iftikharhassan's Avatar
    iftikharhassan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th October 2009 @ 09:23 PM
    Join Date
    11 Feb 2009
    Age
    35
    Posts
    290
    Threads
    54
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default chaa.Nd sitaaro.n se kyaa puchhuu.N kab din mere phirate hai.n

    chaa.Nd sitaaro.n se kyaa puchhuu.N kab din mere phirate hai.n
    vo to bechaare Khud hai.n bhikaarii Dere Dere phirate hai.n

    jin galiyo.n me.n ham ne sukh kii sej pe raate.n kaaTii thii.n
    un galiyo.n me.n vyaakul hokar saa.Njh savere phirate hai.n

    ruup-saruup kii jot jagaanaa is nagarii me.n jokhim hai
    chaaro.n khuu.NT baguule ban kar ghor andhere phirate hai.n

    jin ke shaam-badan saaye me.n meraa man sustaayaa thaa
    ab tak aa.Nkho.n ke aage vo baal ghanere phirate hai.n

    ko_ii hame.n bhii ye samajhaa do un par dil kyo.n riijh gayaa
    tiikhii chitavan baa.Nkii chhab vaale bahutere phirate hai.n

    is nagarii me.n baaG aur ban kii yaaro liilaa nyaarii hai
    panchii apane sar pe uThaakar apane basere phirate hai.n

    log to daaman sii lete hai.n jaise ho jii lete hai.n
    'Abid' ham diivaane hai.n jo baal bikhere phirate hai.n


  5. #5
    iftikharhassan's Avatar
    iftikharhassan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th October 2009 @ 09:23 PM
    Join Date
    11 Feb 2009
    Age
    35
    Posts
    290
    Threads
    54
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default kabhii aa.Nsuu kabhii Khushii bechii

    kabhii aa.Nsuu kabhii Khushii bechii
    ham Gariibo.n ne bekasii bechii

    chand saa.Nse Khariidane ke liye
    roz tho.Dii sii zindagii bechii

    jab rulaane lage mujhe saaye
    mai.n ne uqtaa ke raushanii bechii

    ek ham the ke bik gaye Khud hii
    varanaa duniyaa ne dostii bechii


  6. #6
    iftikharhassan's Avatar
    iftikharhassan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th October 2009 @ 09:23 PM
    Join Date
    11 Feb 2009
    Age
    35
    Posts
    290
    Threads
    54
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye

    ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
    aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye

    hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dil_giir hai.n Gunche
    Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aaye

    lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.N
    yaad aae hai.n jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye

    taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa
    maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye

    yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamo.n ke
    kaam aaye jo duniyaa me.n to is naam hii aaye

    kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaro.n se
    jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye

    thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa
    kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye

    baaqii na rahe saaKh "Adaa" dasht-e-junuu.N kii
    dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye


  7. #7
    iftikharhassan's Avatar
    iftikharhassan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th October 2009 @ 09:23 PM
    Join Date
    11 Feb 2009
    Age
    35
    Posts
    290
    Threads
    54
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default har ek harf-e-aarazuu ko daastaa.N kiye hue

    har ek harf-e-aarazuu ko daastaa.N kiye hue
    zamaanaa ho gayaa hai un ko mahamaa.N kiye hue

    suruur-e-aish talKhi-e-hayaat ne bhulaa diyaa
    dil-e-hazii.n hai bekasii ko hijr-e-jaa.N kiye hue

    kalii kalii ko gulistaa.N kiye hue vo aaye.nge
    vo aaye.nge kalii kalii ko gulistaa.N kiye hue

    sukuun-e-dil kii raahato.n ko un se maa.Ng luu.N
    sukuun-e-dil kii raahato.n ko bekaraa.N kiye hue

    vo aaye.nge to aaye.nge junuun-e-shauq ubhaarane
    vo jaaye.nge to jaaye.nge tabaahiyaa.N kiye hue

    mai.n un kii bhii nigaah se chhupaa ke un ko dekh luu.N
    ki un se bhii hai aaj rashk bad_gumaa.N kiye hue


  8. #8
    iftikharhassan's Avatar
    iftikharhassan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th October 2009 @ 09:23 PM
    Join Date
    11 Feb 2009
    Age
    35
    Posts
    290
    Threads
    54
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa

    na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa
    mere dard kii aab-o-tab me.n mujhe dekhanaa

    kisii vaqt shaam malaal me.n mujhe sochanaa
    kabhii apane dil kii kitaab me.n mujhe dekhanaa

    kisii dhun me.n tum bhii jo bastiyo.n ko tyaag do
    isii rah-e-Khaanaa_Kharaab me.n mujhe dekhanaa

    kisii raat maah-o-najuum se mujhe puuchhanaa
    kabhii apanii chashm pur_aab me.n mujhe dekhanaa

    isii dil se ho kar guzar gaye ka_ii kaaravaa.N
    kii hijrato.n ke zaab me.n mujhe dekhanaa

    mai.n na mil sakuu.N bhii to kyaa huaa ke fasaanaa huu.N
    na_ii daastaa.N naye baab me.n mujhe dekhanaa

    mere Khaar Khaar savaal me.n mujhe Dhuu.NDhanaa
    mere giit me.n mere Khvaab me.n mujhe dekhanaa

    mere aa.Nsuo.n ne bujhaa_ii thii merii tashnagii
    isii barg_ziidaa sahaab me.n mujhe dekhanaaa

    vahii ik lamhaa diid thaa ke rukaa rahaa
    mere roz-o-shab ke hisaab me.n mujhe dekhanaa

    jo ta.Dap tujhe kisii aa_iine me.n na mil sake
    to phir aa_iine ke javaab me.n mujhe dekhanaa


  9. #9
    iftikharhassan's Avatar
    iftikharhassan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th October 2009 @ 09:23 PM
    Join Date
    11 Feb 2009
    Age
    35
    Posts
    290
    Threads
    54
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa

    karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa
    ham ko logo.n ne bulaayaa hame.n chhuu kar dekhaa

    [karb=vexation/anguish]

    jab bhii chaahaa hai ki malabuus-e-vafaa ko chhuu le.n
    misl Khushbuu ko_ii u.Dataa huaa paikar dekhaa

    [malabuus=garment; misl=like/example; paikar=form]

    vo barasaat me.n bhiigaa to nigaahe.n uTThii.n
    yo.n lagaa hai ko_ii tarshaa huaa patthar dekhaa

    zindagii kitanii pareshaa.N hai ye sochaa bhii na thaa
    is ke ataraaf me.n sholo.n kaa sama.ndar dekhaa

    [ataraaf=all around]

    aa ga_ii Gam kii havaa phir tere gesuu chhuukar
    hamane viiraanaa-e-dil phir se mu'attar dekhaa

    [gesuu=hair; mu'attar=fragrant/filled with perfume]

    vo jo u.Datii hai sadaa dasht-e-vafaa me.n "Afzal"
    usii miTTii me.n nihaa.N dard kaa gauhar dekhaa

    [dasht=desert/wilderness; nihaa.N=hidden/buried; gauhar=pearl]

  10. #10
    nana is offline Junior Member
    Last Online
    22nd April 2009 @ 01:54 PM
    Join Date
    09 Apr 2009
    Age
    46
    Posts
    12
    Threads
    1
    Credits
    997
    Thanked
    0

    Default

    very nice

  11. #11
    a_malik_19 is offline Member
    Last Online
    29th September 2009 @ 11:11 AM
    Join Date
    23 Nov 2008
    Location
    @ll<@m0n!y@
    Age
    34
    Posts
    17,725
    Threads
    208
    Thanked
    8

    Default

    yar iski thori si urdu translate bhi kr do

  12. #12
    Hope's Avatar
    Hope is offline Advance Member
    Last Online
    7th January 2020 @ 04:18 PM
    Join Date
    25 Jan 2009
    Location
    Islamabad
    Gender
    Male
    Posts
    17,405
    Threads
    750
    Credits
    74
    Thanked
    212

    Default

    Nice

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 14
    Last Post: 8th February 2012, 03:56 PM
  2. !Write Urdu free SMS Daily Hadith urdu&Eng Dictionary ETC!
    By Wakeel Ahmed in forum General Discussion
    Replies: 7
    Last Post: 3rd July 2010, 02:17 PM
  3. Best Of best Urdu poetry daily updated
    By KKchamkani in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 12
    Last Post: 30th September 2009, 07:48 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •