yeh jo deewane s do char nazar ate hain
in me kuch sahib-e- asrar nazar ate hain

teri mehfi ka bharam rakte hain so jate hain
warna ye log tu bedar nazar ate hain

mere daman me shararun k siwa kuch be nahi
app phulo k khareedar nazar ate hain

dur tak koi sitara hai na koi jugnu
marg-e-umeed k asaar nazar ate hain

kal jinhe chu nahi saktee tee farishtu ki nazar
ajj wo ronaq-e-bazar nazar ate hain

hashar me kaun gawahe meri dega Saghar
subtumhare hee tarafdar nazar te hain




plz post ur fav urdu poetry here........AS we would like our young generation to be aware of the poetry of our GREAT LANRUAGE.
Best rgds