Kuch nahi wafaon mein' kuch nahi jafaon mein
Kyun na hum guzar ayein chand roz khalaon mein
Jis tarhan se aaina aainye se takraye
Toot phoot jata hai' aadmi aanaon mein
Pyar ki zubaa ne hi khoon mein zehar ghola tha
Ishq jal raha hai ab, soch ki chitaaon mein
Apne fesalye par tum kis liye pashemaa ho?
Ik sakoon milta hai, ab hamein sazaon mein
Jab bhi sach kahon tum se, jhoot bool jate ho
Main yaqeen karta hoon' sehar hai aadaon mein
Panchiyon ko aana hai wapis aashiyane mein
Kitna door urein gye woh' "saad" in hawaon mein
"Saad kya kare ga tu? kuch pata chale hum ko
Woh tere khayalon mein, woh teri duaon mein
Bookmarks