Abhi to lafz ko mainey ka intezaar kerna tha
K aankho ko samander rooh ko patwaar kerna tha
Abhi ye umer apney aap sey nafrat ki to na thi
Abhi to piyar kerna tha, abhi to pyar karna tha
Main patthar chun rahi thi thak gai ab mujhsey kya shikwa
Zara sa raasta tum ney bhi to humwaar kerna tha
Yahi lumhey na aatey zindagi main to bhala kya tha
K jab iqraar karna tha ya jab inkaar kerna tha
Main khud taiyaar hoon marney ko mera maan kyon tora
Merey dushman tujhey to saamney sey waar kerna tha
Bookmarks