Zameen thi meri magar asmaan uska tha
Is liye mujhe khud pe gumaan uska tha
Main ab jo dhoop main jalta hon usi ka hai karam
Main jis ki chaaon main tha,woh saibaan uska tha
Woh jis ke waastay larta raha tha main sab se
Mere khilaaf hi har ek insaan uska tha
Woh jis ne mujh ko hamesha hi dala mushkil main
Yeh pehli baar tha ke imtehaan uska tha
Tum meri jaan ho yeh bhi usi ka kehna tha
Tum zakham-e-jaan ho yeh bhi bayaan uska tha
Jo roshni ke mukhalif tha shehar bhar main
Tamaam shehar se roshan makaan uska tha
TANHA MEHAR
Bookmarks