Sheeda_Pastol said:
aap ki post main MFA/Money making blog ka link tha jis ko main nay naheen balkay managment nay share karanay say sakhti say mana kia hai.
aur aap mera ueh jawab to doosray member kay liay hai, thora aap bhi parh lain
agar aap ki blog ko allow kia jata to phir un tamam users kay saath ziadti hojayegi jin ki blog wali post ko delete kia gaya hay. Rules sab kay liaye aik jaisay hain.
Waiysa agar aap nay ya aap kay dost nay Internet Marketing karni hay to us ko seekhain aur samjhai aur phir proper tareeqay say karain. Yeh blog banakar 10 12 Cents kama lenay say aap ka kia ban jaye ga ?
Meri aap ko hamdadrdana tajveez hai yeh chhotay motay blog bana kar aur phir in ko forums par SPAM karnay say kuchh naheen banta. Aap apna aur baqi doosray members ka time zaya mut karain.
Agar aap nay koi achhi cheez share karni hai to direct link kay saath yahan forum par share karain takay sab ka bhala ho, jo baqol aap kay aap chahtay bhi hain. MFA blogs link ko spam mut karain.
ITDunya hi kia balkay koi bhi famous site ya forum yeh naheen chahay ga kay un ki mehnat say banaye huway users aur sites ko chhoti chhoti money making aur MFA blog ki Spamming kay zariaye Exploit kia jaye.
so understand and do what is better for you and other.
Thanks
Bookmarks