naat likhne ka agar mujko kareena aajay
jitna dashwar ho jina , muje jina aajay
us safar main kabi thakte nahi dil aur paon
jis safar main kahain asase madina aajay
dobne walo'' kabi dil se pakaro to uney
khud bhanwar le kar kinare pe safina aajay
aesi rahmat ki ghari bi koi aa sakti hai
main madine mian rahon aur muj main madina aajay
muj ghunagar bhakari ki yehi janat hai
un ki nisbat ka mere hath khazina aajay
ho to sakta hai agar aap karam farma den
meri ankhon se mere dil main madina aajay
Bookmarks