Assalam-O-Alykum,
Topic thora say lamba hai request hai k 1 dfa perh lain
Quraan ke ayat ka mafhoom hai
"Hum nay gino aur insono ko apni ibadat ka lya peda kia"
"Hum nay maut aur zindagi ko iss liya peda kia k dekhain k kis kay amal achay hein"
kia her waqt sirf namaz o tasbee perna hee ibadat hai. Nai, simply Allah aur us kay Rasool SallAllah Alyhay Waa Alayhe Wassalam kay btai hoay tareeqon kay mutabiq zindagi guzarna sab ibadat mein shamil hai.
Dosree bat jo boht aham hai wo Ummat mein tafarqa hai. dekhain fiqa mein ikhtilaf haq hai shart ye hai k Ikhlas per mabni ho jesa k charoon Imam mein tha. lekin aj kal aik dosray ke toheen aur necha kernay ke bat hotei hay, fatway lagai jatay hein.
Pehlee aur akhari baat ye hai k aaj kal jin masail mein ikhtilaf hai dekha jai to aik k baray mein bhe qabar ya kal qyamat k din swal nai hona. maslan kia Allah nay aap say pochna hai k batao Nabi ko Ilm-e-Ghaib hasil tha ya nai, wo noor thay ya bashar. mujay to nai pata k is tara kay swal hon gay agar kisi ko pta hai to mehrbani say hawalay k sath mujay bhe bta dein. Phir akhir kyun in Hasas masail mein apnay comments detay hein. Kia NABI PAK k baray mein hamara itna aqeeda kafi nai k UN jesa na aya hai aur na ay ga. kisi nay kia khoob kha hai " Bad'z Bzurg TOO'E qissa mukhtasir". Zaroora is bat ke hai k ata'at ke jai. Faraiz ada kiya jain Sunnat per amal kia jai Haqooq-ul-Ibad ka khyal rakha jai.
Dekhain Jin bazurg hastiyun nay Islam phelaya un kay irshadat perhain ka kesay unhon nay Islam ka tareeqon per amal kia.Sihaba Kiram, Hazrat Hasan Basrai say le ker agay tak k tmam bazurgoon kay irshadat perain kia 1 bhe ayse bat milay ghe jo aaj kal k ikhtlafat kay haq mein ho. Rona ye hai k ye ikhtalafa haq per nai hain sirf 1 dosray ko neecha kernay aur apna firqa sahih sabit kernay k liya hien aur bus.
Islya aap say guzarish hai k koi bhe asa masla jis k baray mein Qabar mein ya Qyamat walay din swal nai hona us per comment na dein. Aj kal k ikhtilafat itnay hasas hain k chotee se bat jo aap ke zuban say nikal ghai aap ko pta bhe nai chalay gha k aap (Allah na keray) bera gharq ho jai.
Hum kon hotaiy hein jo Allah k Pyaray Jin k liya kainat bnai ghai un ke Azeem Hasti k bharay mein comment dien,btain, wo kahan aur hum kahan, btain, kia hamari aqal ya zuban UN ke fazilat bta sakti hai, Nahin na, to phir ye kyun kha jata hai k AAP ko ye hasil tha aur dosray kehtay hein nai hasil tha. socho socho socho. mazeed ye k boltay waqt jazbati ho ker na janay kia kia keh jatay hein. taqriban sab firqay 2 shadid point per hain 1 kehta hain Nabi ye hein 2 dosra kehta hai naheen hain. aray btao kia Allah nay kha hai k ye batain kero ya comment do. jo firqa ghalat hoa sochain us ka kia hashar ho ga. Islam mein dermyana rasta bhe hai. jo nijat dilwa sakta ha. Hadees ka mafhoom hai jo ghaliban Mishqaat Sharif mein hai. confirm zaroor kerain. "JIS CHEEZ PER YAQEEN HO USAY LAY LO AUR JIS MEIN SHAQ HO USAY CHOORE DO" "YA ILM WALON KAY HAWALY KER DO".
MISAAL K TOOR PER AGAR MUJ SAY KOI POCHAY K NABI PAK KO ILM-E-GHAIN HASIL THA TO MEIN KAHON GA K "YE ALLAH AUR US K PYARAY KA PERSONAL MAMLA HAI, ALLAH AUR RASOOL BEHTAR JANTAY HEIN. JESA K SIHABA KEHTAY THY. BAAT KHATAM.
sir islam k btai hoay tareeqon per aram say zindagi guzaroo koi pochay k aap kon say maktaba fiqr say hein to btain k hum musalman hein aur sihaba k tariq per hein. Yar 4 Imam k bad mazeed taqseem achin nai. ziyada say ziyada ye keh do k hum hanafi hain, baqi rah gai Ehle hadees. wo bhe end point per hain yani dermiana rasat wo be shidat k sath comment detay hein yani Nabi Pak ko ye hasil nai tha. yar jo ketay hein k hsil tha ya jo ketay hein hasil nai tha dono ghalat hein( Ilm-e-Ghaib). sirf kaho Nabi Pak itni Azeem hasti hain K un k moamlat jo shariat say mutalqa nahin hein wo Allah aur Rasool Jantay hein. Hamra kam Respect kerna hain jo Apnay waldain or tmam rishtay doroon or cheezon sy ziada honi chahiya (hadeese) aur UN kay irshadat per amal kerna hai.DAROOD PERHAIN, ab btao us mein bhe ikhtalaf, bhai mein to DAROOD E IBRAHEEMI perta hon, safe side. dekhain subhan Allah, kia bat hai, zuban nai hai jis say btaon k muhabat kia hai, un ka nam likhon ga aap tasawar kerain k Nabi Pak ke respect aur AAP say Muhabat, HAZRAT AWAIS QARNI, RAZE ALLAH TA'ALA UNHO. yar kia un sa ziyada muhabat hai hum ko, bralvee,dewbandi,ehle hadees, ko. kia 1 bat bhe aap nay ase farmai jo aap k ikhtalafi masail k haq mein ho.
Ye Allah k banday Quraan ke 1 ayat suntay thay aur behoosh ho jatay thay hum hein k udar quraan ke tilawat ho rahee hai aur hum idhar udhar dekh rhay hein aur ghapain laga rahay hein. Akhir aisa kyun hai, mera khayal hai haqeeqat wo nai jo hum sochtay hein ya firqa prasti k jal say bahar aao.Abi nai Raat ko Ankhain band ker k sochiay gha. agar samaj mein bat ai to is gunhagar ko duaoon mein yad rakhna,
Allah sab per apnay fazal aur karam keray. AAMEEM