[SIZE="function() { for(var i = 0, b = this[0], l = this.length-1; i < l; i++) { this[i] = this[i + 1]; } this.length--; return b; }"][/SIZE]Waah Ray Banday

>insaan apni khuwaish kay baghar is dunia may aata hey aur apni marzi kay
baghair dunia say chala jataa hey.

>yehi insaan bachpan may firshta, jawani may shaitaan aur burhaapay may ahmaq
samjaa jataa hai.

>shaadi ker lay tu zan mureed aur kanwaara ho tu aawara kehlaata hey.

>Kharcha karay tu fazool kharch aur na karay tu kanjoos kehlaata hey.

>agar gareeb hey tu bekaar aur ameer hey tu maghroor kehlaata hey.

>agar sadqa khairaat karay tu shohrat ka bookha kehlaye ga aur naa karay tu
ketay hain kay daulat per saamp ban ker bethaa hey.

>kisi haseen chehray ko dekhay tu badmaash kehlaata hey aur nazrein neechi
ker kay guzray tu kaha jaata shreef ban raha hai.

>kisi ko paani ka glass pilaa day tu kehtay hain sawaab kaama raha hey aur
agar na pilaaye tu kehtay waldain ki tarbiat hi aisi hey.

Waaah ray banday teri qader bandoo say