Results 1 to 7 of 7

Thread: Surrah AL MUMINOON ki aayat

  1. #1
    sheikhje is offline Senior Member+
    Last Online
    27th November 2013 @ 03:09 PM
    Join Date
    25 Jun 2009
    Posts
    53
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    7

    Default Surrah AL MUMINOON ki aayat

    Bismilla Al-rehman Niraheem

    "Apni Sharam gahoon ki hifazat ka hukam"

    (Surrah AL MUMINOON aaiyet No "5 to 7" )
    "Our jo log apni sharamgahoon ki hifazat kertay hain.maghar apni biviyoon our apnay hath k maal (yani Londiyaan)".pess nai hay un ko melamat. pess jo koi dhoonday iss k siwa,wohi hain hadd say barh janay walay."

    ALLAH Rabul iezat apnay kalaam-e-pak may wazay Irshad farmata hay k tum apni sharam gahoon ki hifazat kero,in per haq sirf tumary biviyoon our londyoon ka hay.our aghar tum in say hat ker koi raah apnao gay tu tum hadd say barh janay waloon may ho jao gay.

    pehlay tu ye janana zaroori hay k sharamgah kya hay?"mard ki sharamgah us ka "zaker" hay,(us ki dono tangoon k darmyaan)
    mazkoora bala aayat may biviyoon our londyoon ka zikar aya hay.hum per biviyoon ko halal ker deya gaya hay.our aghar koi shakhas ghar may bivi ki mojoodgi k bawajood apni jinsi khowaish ko kisi our zareya say poora keray "yani ghair ourton say mubashrat ker k"tu wo zana ka murtakib hua.our zana ki saza shareyat may married zani ko sangsar kerna hay.sangsar iss tara kia jay ga k zani mard ya ourat jo b hay us ko us ki sater poshi k hisay tak zameen may gharaha khod k us may khara ker k mati dali jay gi,pir uper walay jisam k hisay per pather barsaay jain gay yahaan tak k wo mar jay(us ki mot ho jay) jab k unmarried zani ya zanya ko 80 korhay hain,aghar wo in 80 koroon k poora honay say pehlay mar gaya tu baqi korhay us ki qaber perbersaay jain gay.

    ye saza tu wo hay jo dunya may dee jay gi but jo saza Akhrat may ALLAH nay mukarer ker rekhi hay us ka sun k jisam kaanp jata hay.pir kisi mazmoon may us ka zikar keron ga.
    yahan app logon k zehan may ye swal uth reha ho ga k bala ayaat may "Londyoon" ko b halal kaha gaya hay.ji haan Londyaan apnay malik per halal hain.yahaan ye janana lazmi hay k londyaan hain kon... Nabi-E-Mukarem MUHAMMAD MUSTAFA (SAWW) k zamanay may jo ghazway hua kertay thay un may jo qaidi merd ourtain maal-e-ghaneemat may aya kertay thay un ko Muslims may taqseem ker deya jata tha,aik rawaaj ye b tha k ghulam merd ourtain bechay khareeday jatay thay.ye log apnay malik k ghulaam hua kertay thay.tu wo ghlaam ourtain muslims per halal ki gain hain. (un say mubashret kerna halal hay).swal uthata hay k tab londyaan halal theen tu ajj kuin nai?tu iss ka jawab aghar app QURAN ka baghore mutala kerain tu mil jata hay,Quran pak may kisi jaga londyon ko haram nai kaha gaya our na he londyoon say mubashret kernay say mana kia gaya hay.mamla yoon hay k us zamanay may tu ghulam mil jaya kertay thay.hisstory may hay k londyon ka system Umavi dor tak tha but iss k bad ye system kom hotay hotay hatam ho gaya.ab yahaan mera nazriya ye hay k londyaan rekhna haram tu nai hay but shaid ALLAH PAK jantay thay k ajj k iss pur fitan dor may ye mamla aik burai ki shakal ikhtayaar ker jay ga iss liay ALLAH nay iss mamlay ko smoothly hatam ker deya. meray nazdeek londi rekhana halal tu hay but iss dor may pasandeeda amal nai hay.issi waja say KHUDA nay insanoon k diloon say ye Raghbat khatam ker dee.Wo KHUDA jo chahay ker sakta hay,Wo Qadar-e-Mutlikm hay.
    bala aayaat may in ourtoon k siwa kisi ghair ourat say mubashret kerna haram hay,Ghunnah-e-kabeera hay. Hadees pak hay, "tum muje apni 2 cheezon ki zamanet day do may tumay janat ki zamanet data hon,1 wo jo tumaray 2hontoon k dermeyaan(Zubaan) hay,2 wo jo tumari 2 tangoon k demeyaan(sharmgah) hay.
    ab humain faisla kerna hay k hum nay ALLAH ki mukarer Hudood may rehana hay ya k in hadood ko crose ker k nafarmanoon may hona hay.

    ALLAH KAREEM

  2. #2
    *KHAN*JEE*'s Avatar
    *KHAN*JEE* is offline Advance Member+
    Last Online
    14th January 2021 @ 05:22 PM
    Join Date
    09 Apr 2009
    Location
    .*'""*JaNNaT*""
    Gender
    Male
    Posts
    23,576
    Threads
    649
    Credits
    91
    Thanked
    1618

    Default

    1st of all JAZAK ALLAH

    AND THEI




    BAIE SAB KOSHISH KARAIN...K QURAN KI TARJAMA URDU KI LIKAHI MEIN HO....ROMAN URDU PERNE MEIN MUSHKILAT HOTI HAI...OUR HAAN YAHAN ROMAN URDU ALLOWED NAHI HAI...
    Do What is Right, Not What is Easy ...

  3. #3
    sheikhje is offline Senior Member+
    Last Online
    27th November 2013 @ 03:09 PM
    Join Date
    25 Jun 2009
    Posts
    53
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    7

    Default

    [COLOR="DarkOrange"]
    h_khanjee plz muje tareeqa batain k urdu may kis tara post keron.main ajj subah say try ker reha hon.
    plz teach me/COLOR]

  4. #4
    sheikhje is offline Senior Member+
    Last Online
    27th November 2013 @ 03:09 PM
    Join Date
    25 Jun 2009
    Posts
    53
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    7

    Default k khanje

    [COLOR="DarkSlateBlue"]h_khanjee plz muje tareeqa batain k urdu may kis tara post keron.main ajj subah say try ker reha hon.
    plz teach me/COLOR]

  5. #5
    sheikhje is offline Senior Member+
    Last Online
    27th November 2013 @ 03:09 PM
    Join Date
    25 Jun 2009
    Posts
    53
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    7

    Default

    sor 4 my mistake in above posts

  6. #6
    *KHAN*JEE*'s Avatar
    *KHAN*JEE* is offline Advance Member+
    Last Online
    14th January 2021 @ 05:22 PM
    Join Date
    09 Apr 2009
    Location
    .*'""*JaNNaT*""
    Gender
    Male
    Posts
    23,576
    Threads
    649
    Credits
    91
    Thanked
    1618

    Default

    MEIN 1 LINK DE RAHA HUN....OUS KO OPEN KARO...YE SPECIAL NEW MEMBERS K LIYE HAI...IS MEIN HAR CHIZ KA TAREEQA HAI....HAR THREAD GHUR SE PARO...HAR CHIZ SAMAJ JAWOGE....

    LINK IS THERE
    http://www.itdunya.com/forumdisplay.php?f=45

  7. #7
    sheikhje is offline Senior Member+
    Last Online
    27th November 2013 @ 03:09 PM
    Join Date
    25 Jun 2009
    Posts
    53
    Threads
    4
    Credits
    0
    Thanked
    7

    Default

    Thanx h_khanjee main nay samaj lia hay k urdu post kaisay kerni hay.
    app ka bohat bohat shukria.
    ainda may apnay articles urdu may he post keroon ga.

Similar Threads

  1. Aayat al-Kursi
    By Fatima Iqbal in forum Photo Gallery
    Replies: 23
    Last Post: 11th February 2014, 08:19 PM
  2. Aayat
    By ABDULLAH. in forum Islam
    Replies: 0
    Last Post: 13th June 2013, 01:56 AM
  3. Aayat karemah
    By ABDULLAH. in forum Ibadat
    Replies: 8
    Last Post: 23rd November 2012, 11:48 AM
  4. Replies: 6
    Last Post: 17th April 2010, 03:40 AM
  5. Aayat...
    By talhaarfi in forum Quran
    Replies: 1
    Last Post: 5th December 2007, 04:09 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •