Wo to Khushbo hai havaaon mein bikhar jayega
masalaa phool ka hai phool kidhar jayega
ham to samajhe they ek zaKham hay bhar jayega
kya Khabar thi ke rag-e-jaa.N mein utar jayega
Wo hawaiow ki tarah Khaanaa_bajaain phirata hai
ek jhonkaa hai jo aayegaa guzar jayega
Wo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aangan mein Thehar jayega
aakhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
teraa ye pyar bhi darya hai utar jayega
Parveen Shakir
Bookmarks