Page 7 of 8 FirstFirst ... 45678 LastLast
Results 73 to 84 of 92

Thread: Kool's Poetry Collection

  1. #73
    Join Date
    11 Mar 2009
    Location
    !@R $h! The /\/@/\/\e Of Po\/\/eR...!
    Posts
    2,422
    Threads
    115
    Thanked
    7

    Default

    Visit Your Thread in Urdu...!
    And Inshallah By the bless of God i'll compelete your collection...!
    http://itdunya.com/showthread.php?t=96621

  2. #74
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    us shaam wo ruKhsat kaa samaa yaad rahegaa
    Wo shahar wo kochaa wo makan yaad rahegaa

    wo Tiis ki ubharii thii idhar yaad rahegii
    wo dard ke uthaa tha yahaa yaad rahegaa

    ham shauq ke shole ki lapak bhuul jaayenge
    vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaa yaad rahegaa

    kuchh miir ke abyaat the kuchh faiz ke misare
    ik dard kaa thaa jin main bayan yaad rahegaa

    jaan baKhsh si thi us gul_barg ki taraavaat
    wo lams-e-aziiz-e-do-jahan yaad rahegaa

    ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge
    to yaad rahegaa hamain haan yaad rahegaa

    Ibne Insha

  3. #75
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    kal chaudhavi ki raat thi shab bhar raha charcha tera
    kuch ne kahaa ye chaand hai kuch ne kaha chehara tera

    ham bhi wahan maujuud the ham se bhi sab puuchhaa kiye
    ham hans diye ham chup rahe manzuur tha pardaa teraa

    is shahar main kis se milain ham se to chhuuti mahafile
    har shaKhs teraa naam le har shaKhs dewana teraa

    kuuche ko tere chhor kar jogi hii ban jaain magar
    jangal tere, parbat tere, bastii teri, saharaa teraa

    ham aur rasm-e-bandagii aashuftagii uftaadagii
    ehasaan hai kyaa kyaa teraa ai husn-e-beparvaa teraa

    do ashk jaane kis liye palko pe aa kar Tik gaye
    altaaf kii baarish teri ikraam kaa darya teraa

    ai bedareg-o-bamaa ham ne kabhii kii hai fugaan
    ham ko teii wahashat sahi ham ko sahi saudaa teraa

    tu bevafaa tuu maharabaan ham aur tujh se bad-gumaan
    ham ne to puuchhaa thaa zaraa ye waqt kyuu Thaharaa teraa

    ham par ye sakhti ki nazar ham hain faqiir-e-rah guzar
    rastaa kabhi rokaa teraa daman kabhi thaamaa teraa

    haan haan teri suurat hasin lekin tuu aisaa bhi nahin
    ik shaKhs ke ashaar se shoharaa huaa kyaa kyaa teraa

    beshak usi kaa dosh hai kahata nahi Khaamosh hai
    tu aap kar aisi dawa bimaar ho achcha teraa

    bedard sunti ho to chal kahata hai kya achchhi Gazal
    aashiq teraa, rusawa tera, shair teraa, "Inshaa" teraa



    Ibne Insha
    Last edited by koolsaqi; 9th July 2009 at 01:52 PM.

  4. #76
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    Wo dil hi kya tere milane ki jo dua na kare
    main tujh ko bho ke zinda rahon Khuda na kare

    rahegaa saath teraa pyaar zindagii banakar
    ye aur baat merii zindagii wafa na kare

    ye thek hai nahin marataa koi judaai main
    Khudaa kisi se kisi ko magar juda na kare

    suna hai usako mohabbat duwain deti hai
    jo dil pe chot to khaye magar gila na kare

    zamana dekh chuka hai parakh chuka hai use
    "Qateel" jaan se jaaye par iltaja na kare


    Qateel Shifai

  5. #77
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default


    Mere Zaat zara be nishan....
    Karo wo kis tarha say bian
    jo kiay gay hain sitam yahan
    Sunay kon mere yeh dastan,
    koi hamnashee hay na raazdan
    jo tha ghot wo bana sach yahan
    nahi kholi main nay magar zuban
    yeh akela pan, yeh udasian
    mere zindagi ki hain tarjama
    Mere Zaat zara be nishan....

    kabi soni subha main ghomna
    kabi ugri sham ko dekhna
    kabi beghi ankho say jagna
    kabi betay lamho ko socchna
    magar ik pal hay umeed ka
    mujhay Khuda ka hay jo aasra
    nahi hi main nay koi gila kai
    nahi hi main nay di hain duhain.
    Mere Zaat zara be nishan....

    main batiow kia mujhay kia milay
    mujhay sabar hi ka sila milay
    kisi yaad hi ki riza milay
    kisi dard he ka sila milay
    kisi gham ki dil main jaga milay
    jo mera hay wo mujhay a milay
    rahay shad yoh he mere jahan
    k yakeen main badlay mera guman
    Mere Zaat zara be nishan....

  6. #78
    koolsaqi is offline Senior Member+
    Last Online
    7th July 2013 @ 12:49 PM
    Join Date
    23 Jun 2009
    Location
    Lahore, Pakistan
    Posts
    83
    Threads
    1
    Credits
    833
    Thanked
    2

    Default

    Tumhare bheegte palkoon se main ne barra poocha
    mezaj-e- hus-ne-yaar main yak ba yak kya inkelab aya
    sitara dekhna or dekh ker afsorda hogaya
    bohot takher se tum ko sitaroon kaa hisab aya


    Tumhare bheegte palkoon se main ne barra poocha
    ke tark-e-rabt per kya mujh se wahsee yaad ate hain?
    taluq torrna asan tha to phir!aankh kyun naam hai.
    ana perver jafa pesha bhi yoon aansoo bahate hain?

    Tumhare bheete palkoon se main ne barra poocha
    ki jalne or jalane main bhala kya luttuf ata hai?
    bus ak jhote ana ke waste berbad hojana
    khude ke zaem main insan kitne dukh uthata hai?

  7. #79
    owaisqarni is offline Senior Member+
    Last Online
    28th January 2013 @ 02:22 PM
    Join Date
    24 Mar 2010
    Posts
    424
    Threads
    24
    Credits
    0
    Thanked
    98

    Default

    زبردست

  8. #80
    darpanrukh is offline Member
    Last Online
    26th March 2011 @ 07:36 PM
    Join Date
    05 Feb 2010
    Location
    ?????????????
    Gender
    Male
    Posts
    3,790
    Threads
    312
    Thanked
    493

    Default

    عمدہ انتخاب ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
    شیئر کرنے کے لئے شکریہ

  9. #81
    muzammilahmed's Avatar
    muzammilahmed is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd January 2012 @ 04:28 PM
    Join Date
    13 Jul 2010
    Location
    karachi
    Gender
    Male
    Posts
    408
    Threads
    5
    Credits
    0
    Thanked
    23

    Default

    bohat behtreen

  10. #82
    shahin is offline Senior Member+
    Last Online
    17th February 2018 @ 08:42 PM
    Join Date
    11 Jul 2010
    Location
    karchi
    Age
    39
    Posts
    337
    Threads
    0
    Credits
    11
    Thanked
    2

    Default

    Quote koolsaqi said: View Post
    Mumkin Jo Agar Hota
    Hum Tum Ko Bhula Dete,
    Yadon Ko Kafan De Kar
    Be Maut Sula Dete,
    Tanhai Main Jee Lete
    Tum Ko Na Saada Dete
    Is Dil Se Tere Dil Tak
    Dewaar Utha Dete
    Mumkin Jo Agar Hota
    Hum Tum Ko Bhula Dete
    jab koi yaad aa jayeh to nahi bhulta na phir koi kya karay

  11. #83
    shahin is offline Senior Member+
    Last Online
    17th February 2018 @ 08:42 PM
    Join Date
    11 Jul 2010
    Location
    karchi
    Age
    39
    Posts
    337
    Threads
    0
    Credits
    11
    Thanked
    2

    Default

    Quote koolsaqi said: View Post
    Tumhare bheegte palkoon se main ne barra poocha
    mezaj-e- hus-ne-yaar main yak ba yak kya inkelab aya
    sitara dekhna or dekh ker afsorda hogaya
    bohot takher se tum ko sitaroon kaa hisab aya


    Tumhare bheegte palkoon se main ne barra poocha
    ke tark-e-rabt per kya mujh se wahsee yaad ate hain?
    taluq torrna asan tha to phir!aankh kyun naam hai.
    ana perver jafa pesha bhi yoon aansoo bahate hain?

    Tumhare bheete palkoon se main ne barra poocha
    ki jalne or jalane main bhala kya luttuf ata hai?
    bus ak jhote ana ke waste berbad hojana
    khude ke zaem main insan kitne dukh uthata hai?
    maray dil main sirf tum ho kaho tu bata don

  12. #84
    Join Date
    10 Jul 2010
    Location
    Lahore
    Gender
    Male
    Posts
    2,829
    Threads
    317
    Credits
    1,005
    Thanked
    204

    Default

    Nice

Page 7 of 8 FirstFirst ... 45678 LastLast

Similar Threads

  1. My collection poetry
    By ateeq in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 14
    Last Post: 22nd September 2019, 05:09 PM
  2. Best poetry collection
    By Zidi114 in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 2
    Last Post: 11th November 2015, 01:44 PM
  3. Kool Saqi's Collection in Urdu By Adnan CH.
    By ChessMaster in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 16
    Last Post: 13th July 2009, 02:04 PM
  4. kool site for Kool user www.koolhere.com
    By Qasir Roonjha in forum General Discussion
    Replies: 13
    Last Post: 26th June 2007, 10:25 PM
  5. Kool Mobile Related Sites Collection!!! P-1
    By salman810 in forum General Mobile Discussion
    Replies: 8
    Last Post: 29th May 2007, 10:58 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •