Bheer main zamanay ki
Hath choot jatay hain
Dostdar lehgoon main silwatain se partin hain
Ek zara se rangish say
Shak ki zard tehni per, Phool badgumani kay
Is tarah say khiltay hain
Zindage say piyaray bhe
Ajnabi say lagtay hain, Ghair bun k miltay hain
Umer bher ki chahat ko aasra nahi milta
Dasht-e-bayakene main rasta nahi milta
Khamoshi kay wakfon main
Baat toot jati hai or sira nahi milta
Ma`zrat kay lafzon ko roshni nahi milte
Khaak urnay lagte hai
Khowab toot jatay hain
Or yakeen kay dhagay bhe
Pal main toot jatay hain
Ek zara se rangish say
Sath toot jatay hain
Bheer main zamanay ki
Hath choot jatay hain
Khowab toot jatay hain
Bookmarks