Haqiqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahin Kartey

Jo Yade Mustafa Se Dilko Behlaya Nahin Kartey

Zuban Par Shikwae Ranjo Alam Laya Nahin Kartey
Nabi Ke Naam Leva Gham Se Ghabhraya Nahin Kartey

Haqiqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahin Kartey
Jo Yade Mustafa Se Dilko Behlaya Nahin Kartey

Yeh Darbare Muhammad Hai Yahan Milta Hai Bemangey
Arey Nadan Yahan Daman Ko Phailaya Nahin Kartey

Haqiqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahin Kartey
Jo Yade Mustafa Se Dilko Behlaya Nahin Kartey

Arey O Na Samajh Qurban Ho Ja Unke Roze Par
Yeh Lamhey Zindagi Mein Baarbaar Aya Nahin Kartey

Haqiqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahin Kartey
Jo Yade Mustafa Se Dilko Behlaya Nahin Kartey

Yeh Darbare Risalat Hai Yahan Apnon Ka Kya Kehna
Yahan Se Hath Khali Ghair Bhi Jaya Nahin Kartey

Haqiqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahin Kartey
Jo Yade Mustafa Se Dilko Behlaya Nahin Kartey

Muhammad Mustafa Ke Baagh Ke Sab Phool Aisey Hain
Jo Bin Pani Ke Tar Rehte Hain Murjhaya Nahin Kartey

Haqiqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahin Kartey
Jo Yade Mustafa Se Dilko Behlaya Nahin Kartey

Jo Unke Damne Aqdas Se Wabasta Hain Aey Hamid
Kisi Ke Samne Woh Hath Phailaya Nahin Kartey