Quote Arabian.Paki said: View Post
Samjhany ki Baat Hai K America Nay khud ko Magrib Main nahi khelwaya balkay Jab Ye Daryaaft Hua to logoo nay is Ko Magrib main hona Hee tasawur kiya.Aur ab tak yehi hai.

Time Zone koi aik din main Ijaad nahi hua Tha ,Jaisa K Musooof nay Tasur denay ki Koshish ki hai K America nay Khud ko Chupanay k liye Time zone aisa banaya ,Yahaan Say He in Ki Tehqeeq ka Pool khul jata hai.
Time zone Aik English Geographist nay Samandri safer Main asaani k liye Ijaaad kiya tha,Laikin inhoon nay Pata Nahi is ko kiya say kiya bana diya.

In ko to Her cheez main America ki Sazish Nazer ati hai.
Al'Salaam alekum!

aap ne farmaaya ke America ne khud ko maghrib maen hona nahin kehlwaya, balke amreeka ko daryaft karne waalon ne usse maghrib maen hona tassawur kiya , lehaza meri tehqeeq ke jhoota hone ka pool khul jaata hae.

Zara ye to bataaiye ke amreeka ko kis ne daryaft kiya tha, aap ne? maen ne? jee nahin Britishers(colombus) ne aur aaj bhi Britian ke National Museum maen duniya ka puraana naqsha aur wo naqsha jo colombus ne chhora daryaft ke baad, uss maen USA maghrib maen nahin balke mashriq maen hae! mujhe umeed hae ke ab aap ye na keh den ge ke colombus aur aaj ke british museum maen wo naqsha e duniya aawezaan karne waale bhi mere jhoot ke palande ka hissa haen. maen ne iss tehqeeq maen sirf net nahin ghooma balke iss jism ke saath duniya ghoom kar inn do aankhon se tehqeeq ki hae aur uss waqt net bhi nahin ejad huwa tha, yani early 90's. aise kissi ko jhoota keh dena achi baat nahin. haan kissi ki baat ko bila tehqeeq maan jaan bhi theek nahin, maen aap ki iss tawaju ka ehsaan mand hun! Aur agar ho sake to kisi jaan pehchaan waale se jo UK maen rehta ho, uss se kahiye ke wo Museum jaa kar apni ankhon se aap ko wahan chispan Duniya ka naqsha dekh kar bata de ke Amreeka ko daryaft karne walon ne Amreeka ko mashriq maen paaya ya maghrib mae. baat aur bhi seedhi hae ke agar amreeka maghrib maen hota to waha red INdian ki bajaye red european hone chaahiye the na? Magar Europe se to zameeni safar mumkin na tha, lehaza Indians hi zameeni safar se Amreeka maen daakhil huwe aur wo bhi mashriq ki taraf zameeni safar karte huwe na ke maghrib ki taraf!!!


aur mera yahan mozu time zone ke hawale se nahin blake mashriq aur maghrib ke hawale se hae, aik ghair Muslim ne sirf time zone hi nahin mukhtas ki apne aaraam ke liye balke unhon ne Allah ke liye beta bhi mukhtas kiya hae (muaz Allah min zalik), itna barra jhoot bolne waalon ki taraf dari maen aap aik Muslim ko jhoota keh den, Allah aap ko muaaf kare! Maen ne bhi muaf kiya.

Maen waqayi aap ki post karne ka shukriya adaa karta hun, ke mujhe bayaan ka moqa mil jaata hae.

wa Salaam alekum!