Wohi kissey hain wohi baat puraani apni.....


Wohi kissey hain wohi baat puraani apni.....
Kon sunta ha bhala raam kahani apni......

Her sitamgar ko ye hamdard samjh leti hai.....
Kitni khush feham hai kambakhat jawani apni....

Rooz miltey hain darechey main naye phool mujhey......
Choor jata hai koi rooz nishani apni......

Tum se bichrey hain tu paya hai biyabaan ka skoot.....
Warna darya'on se milti hai rawani apni....

aaj phir Chand ufaq par nahe ubhra Mohsin....
Aaj phir raat na Guzrey gi Suhaani apni...