GuloN ka rang e tabassum khafa khafa hoga
Tere shabab ka charcha agar hua hoga

Lachakti phool kee daali khila badan tera
Zamane bhar kee nazakat ka aaina hoga

Tumhare husn pe qurban chaandni raateN
Mahakti baag kee kalliyoN ne ye kaha hoga

GuloN kee shaakh bhi jhukti hai dekh kar tujhko
Tere mizaaj ke bare mein kuch suna hoga

Aroos-e-husn-e-munauwar ka taj kadmoN par
Nisaar chaand sitaroN ne bhi kiya hoga

MaiN apni arz-e-tamanna pe ab pashemaN hooN
Khabar na thi ke wo itna chiraag pa hoga

Jise wafao'N ka tohfa diya gaya hoga
Mujhe yaqeen ha "gulreEZ" bawafa hoga