be ism Allah al-Rahmaan al-Raheem!

al-Quran-21:31 And We have set up firm mountains on earth, lest it sway with them,Asad(21,40) and [that] We have appointed thereon broad paths, so that they might find their way,

al' Salaam alekum mohtaram Muslimeen!

Suraj ke maghrib se nikalne ki Nishaani ke baare maen kaha jaata hae ke zameen ka apne mehwar per Tawaaf e kaba ki tarha ghoomna uss per suraj ke mashriq se nikalne ki waja hae jo aik aaj ki daur ki scienci taraqi se saabit hae, aur iss ke maghrib se nikalne ke liye amooman ye kaha jaata hae ke iss ka rukna aur ulti gardish karna sabab bane ga sooraj ke maghrib se nikalne ka jo aik mumkin baat hae scientifically. Magar ab aisa hone ki aik soorat aur bhi saamne aa gayi hae jiss ki taraf Quran hi ne meri tawajju dilwaayi!

maen ne jab ghaur kiya ke suraj apne tallu ki jaga har saal badalta hae to iss ki waja zameen ke jhukaao maen tabdeeli ba taur sabab saamne aaya aur yehi waja hae mausamon ke tabdeeli ki bhi.
Abb chunke global warming ki waja se bare bare pahaar(glaciers) rooi ke gaalon ki tarha ghaib hote huwe nazar aa rahe haen to iss se Quran maen Pahaaron ka zameen per bataur keelon ke hona aur ye ke inn ke baais zameen hamen le kar jhuk nahin jaati aik nahaayat tawaju talb mozu bann kar saamne aaya! ye ke agar global warming ki waja se itne glaciers apni jaga se hil chuke haen to matlab zameen ka tawazun bhi kharab ho chuka hae ya ho raha hae, aur bewaqt badalte mausam to humsab dekh hi rahe haen, lehaza ab aik aur soorat Suraj ke maghrib se nikalne ki saamne aa chuki hae, aur wo zameen ki gardish ruk kar mukhalif simt ghoomne ke baghair mumkin hae, yani zameen ke jhuk jaane per khud ba khud sooraj maghrib se nikal aa sakta hae, aur ye experiment koi bhi globe le kar kiya jaa sakta hae!

Maen Allah se darte huwe ye baat keh raha hun ke ain mumkin hae ke ye muamla hamare qareebi daur maen kisi bhi aane waali raat maen roo numa ho jaaye aur hum zameen ki gardish ke rukne ka intezaar hi karte reh jaayen, so der mat keejiye aur iss baat ko aage le jaaiye, ke ain mumkin hae kuffar ko science iss global warming ki waja se roo numa hone waale waqiye ki khabar de di ho aur wo iss liye khamosh bethe hon ke kahin sab duniya Islam ki iss nishaani ki waja se Islam hi qabool na karne lag jaye, aur ye bhi mumkin hae ke abhi unn ke science daanon ne iss baat ko bhaanpa bhi na ho aur aap hazraat ki iss baat ko aage phanchaane ke nateeje maen unn tak ye warning pohanch jaaye aur insha Allah iss daur ke science daan hi sab se pehle Islam qabool karne waale ho jayen, jese Musa A.S ke daur maen huwa, aur app ko iss daawat ka ajar e azeem mil jaye, aameen, insha Allah!

27:88 And thou wilt see the mountains, which thou deemest so firm, pass away as clouds pass away: a work of God, who has ordered all things to per­fection!Asad(27,78) Verily, He is fully aware of all that you do!

baqi waAllahu aalam!