Mujhe wo door apnay se kabhi hone nahein deta
Wo meri neend ka dushman mujhe soney nahein deta

Wo jis se piyar hota hai wohi humko rulata hai
Jo hum se piyar karta hai hamain roney nahein deta

Yeh sach hai main zamanay se alag gum sum sa rehta hon
Magar main aapko ankhon se gum hone nahein deta

Bicharte waqt tumne yeh kaha tha huns ke ji lena!
Tumhara beraham wada mujhe ronay nahein deta

Ajub ek kash makash main usney mujhko daal rakha hai
Wo mera hai magar apna mujhe honey nahein deta

Zamaney se alag sub se chupa kar dil main rakha hai
Khazana aapki yadon ka main khoney nahein deta

Khuda ne kuch na kuch Mutrib hamaray bus main rakha hai
Magar wo apni marzi ke bina honay nahein deta