salam
mere sath ek prob hai jo ke mujhe bohat arse se pareshan kar raha hai aur jis ki waja se main ab tak apni site launch nahi kar saka.
masla ye hai ke pehle main frontpage main html main site bana ke server pe upload karta tha to kuch arse baad us main virus ajata tha aur mujhe site delete karna pari.
phir maine apni hosting ke c panel main se forum ka script install kia. ab is script ka to koi taluq nahi tha mere pc ke virus se to us main bhi virus aane laga.
phir maine hosting company se keh ke apna server NUKE karwaya matlab clean karwa dia sara data. aur phit wohi script install kia to visitors ne compalin ki ke phir wohi virus aaraha hai.
mujhe ye samjh nahi araha ke agar mere pc main virus hai to main to c panel se script install karta hon na ke apne pc se. to us main virus kaise ajata hai??
kya koi is masle ka detailed hal bata sakta hai. ya ye bata sakta hai ke agar mere pc main virus hai to kya wo script install hone ke sath site main bhi ja sakta hai.
aur kon sa anti virus main apne pc main rakhon is masle ke liye.
aur is ke sath ye bhi bata deen ke audio aur jpg gif files agar main apne server pe load karon to un ke sath bhi virus jata hai ya nahi?
plz help.
thanks]
Allah hafiz