Tumko Shuhrat ho Mubarak hamain ruswa na karo,
Khud bhi bik jaao gay ik roz ye souda na karo,

shouq sey padah karo pardah hai waajib lekin,
Meri Qismat key andheroun main izaafa na karo,

Choom lenedo Rukh yaar ko ji bhar key hamain,
Zindagi piyar hai tum piyar sey roka na karo,

Arsh par khaak-nasheenou'n ka basera touba,
Jo na poori ho kabhi aisi tamannaa na karo.....**

~~~~~*****~~~~~