Ye naam mumkin nahin rahega muqaam mumkin nahin rahega
Ghuroor lahje main aagaya to kalaam mumkin nahin rahega

Ye barf mousam jo shahir jaa'n main kuch aur lamhe thahir gaya to
Lahoo ka dil kisi gali main qayaam mumkin nahin rahega

Tum apni saa'nson se meri saansen alag to karne lage ho lekin
Jo kaam aasaa'n samajh rahe ho wo kaam mumkin nahin rahega

Wafa ka kaaghaz to bheeg jaaega bad-gumaani ki baarishon main
Khatoun ki baate'n to khuwaab hongi payaam mumkin nahin rahega

Ye hum Muhabat main laa taluq se horahe hain to dekhlena
Duaae'n to khair koun dega salaam mumkin nahin rahega